Aye khaak ke zarro
- Daste Imamia (iso) (2007)
(Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2
Laasha kisi mazlum ka be goro kafan hai
Waaris koi moujood nahi rooh ka saban hai
Dafnaane ka saamaa'n karo aye khaak ke zarro
aye tez hawao
(Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2
Shabbir ne tarjeeh jise di thi kafan par
Aadaa ne woh kurta bhi na rehne diya tan par
Ab tum kafan uska bano aye khaak ke zarro
aye tez hawao
(Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2
Bedardo ne laashe ka ajab haal kiya hai
Mazluum ka tan ghodo se paamaal kiya hai
Aada ko bikhar lene do aye khaak ke zarro
aye tez hawao
(Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2
Sar apna kataye huwe jo ran me pada hai
Ye ehmade mukhtar ki godi ka palaa hai
Lillah aziyat na do aye khaak ke zarro
aye tez hawao
(Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2
Hai dukhtar-e-mehboob-e-khuda ka ye dulaara
Ye haidare karraar ki aankho'n ka hai taara
Laash iski na barbaad ho aye khaak ke zarro
aye tez hawao
(Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2
Chinti na agar zainab-e-mazloom ki chadar
Ye laash pari rehti na is tarha zamee'n par
Dafnaane ka saamaa(n) karo aye khaak ke zarro
aye tez hawao
(Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2
Le jaate na aabid ko agar karke giraftaar
Be ghuslo kafan rehta na yu sayyade abraar
Qaidi ki niyabat karo aye khaak ke zarro
aye tez hawao
(Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2
Maara gaya hai jo bhi shaqi dafn huwa
Aur sibte payamber yuhi beghor para hai
Matti shahe bekas ko do aye khaak ke zarro
aye tez hawao
(Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2