Haye beemar e karbobala
- Afroz (Azhar Abbas) (2018)
Haye bimar e Karbobala
ghash pe ghash kha ke girta raha..
Zulm karta Hai tauqe jafa,
Tar ba tar khoon me Hai gala..
(1)
Shiddate tashnagi se hai sukhi zuba'n,
Khoon peeta Hai gardan ka tauqe gara'n,
Gosht Tak kha gayi paaw ki bediya'n,
Ab Nazar aarahi Hai fakat haddiyan,(2)
Haddiyon me Bhi Hai khoo'n bhara..
Ghash pe ghash kha ke girta raha.....
2)
Mushtaqil badhta jaata Hai Haye waram,
Durre lagte Hain rukte Hain jab Bhi kadam,
Ho raha Hai ye Abid pe kaisa sitam,
Ya ilahi karam Ya ilahi karam,(2)
Marna jaye kahin Ghamzada,
Ghash pe ghash kha ke girta raha.....
(3)
Keh rahi Hain ye ro ro ke saydaniya'n
Kaisi hoti Hain bimar par saqhtiya'n,
Durre padhte hi gir jaata Hai Natawa'n,
Ho rahi Hai use khoon ki ultiya'n,(2)
Aur dawa Hai Na koi gizaa,
Ghash pe ghash kha ke girta raha.....
(4)
Ro ke kehti Hai Abid se bekas bahen,
Dono Bhai bahen ke Hain Zakhmi badan,
Tauq Tere Hain mere gale me rasan,
Kaise aagosh me le tujhe khasta tan,(2)
Kya Kare gham ka maara hua,
Ghash pe ghash kha ke girta raha.....
(5)
Jism ke zakhm dhone Bhi dete nahi,
Damane gham bhigone Bhi dete nahi,
Baap ke gham me rone Bhi dete nahi,
Hadd to ye Hai ke soone Bhi dete nahi,(2)
Kaise soye asire jafa,,
Ghash pe ghash kha ke girta raha.....
(6)
Tauq lipta Hai aisa chute Bhi nahi,
Hadd to ye Hai ke gardan hile Bhi nahi,
Shiddate dard se sar uthe Bhi nahi,
Aur utha le'n to phir sar jhuke bhi nahi,(2)
Kaisi aafat me Hai mubtila,
Ghash pe ghash kha ke girta raha.....
(7)
Sar shaheedo'n ka maqtal me kaata gaya,
Aur laasho'n pe ghodo'n ko dauda Diya,
Haye Jo the yateeman e Karbobala,
Unko durro'n se pursa Diya baap ka,(2)
Aur Zainab Hui berida,,
Ghash pe ghash kha ke girta raha...
(8)
Khoon se tar zamee'n ka mussalla Mila,
Hathkadi bediyo'n ne bhi Sajda Kiya,
Kaun karta Hai aise me shukre Khuda,
Ye tera Kaam Tha Abid e Ghamzada,(2)
Sajde Bhi keh uthe shukriya,,
Ghash pe ghash kha ke girta raha.....
(9)
Haye "Irfan" Bimar e Karbobala,
Deen e Haq ke liye har sitam seh Gaya,
Bekafan baap ke gham me rota raha,
Ho gayee'n ran me saydaniya'n be Rida,(2)
Maqsad e Haq ko zinda rakha,,
Ghash pe ghash kha ke girta raha.....