Ghubare karwa
- Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz (2018)
GHUBARE KAARWA REH REH KE SUGHRA KO RULATA HAI,
TASAWWUR MEIN ALI ASGHAR KA CHEHRA MUSKURATA HAI...
MERI KHATIR NA SOCHE AAP MAIN BEEMAAR HU BABA,
MUJHE BHI KARBALA LE JAAYE MAIN TAYYAR HU BABA,
JAHA SAB JAA RAHE MAIN AKELI BAAR HU BABA,
DHUWA KAISA HAI KYA KOI KAHI KHAIME JALATA HAI...
MERI KHATIR YE KHWAISH AAP KIJE MERE BABA SE,
MERI KHATIR GUZARISH AAP KIJE MERE BABA SE,
PHUPPI AMMA SIFARISH AAP KIJE MERE BABA SE,
NAHI TO PHIR MUJHE IS GHAR K SANNATA BULATA HAI...
SAFAR MEIN APNE NANHE BHAI KE MAIN KAAM AAOUNGI,
KABHI LORI SUNAUNGI KABHI JHULA JHULAUNGI,
LAGE GI PYAAS ASGHAR KO TO MAIN PANI PILAUNGI,
MERE KAANO MEIN JAISE TEER KOI SAN SANATA HAI...
BEHEN KO BHUL MAT JAANA YAHA SE KARBALA JAAKAR,
NA MARR JAAYE KAHI BEEMAR TANHAI SE GHABRA KAR,
YE WAADA KAR RAHE HO TUM MUJHE LE JAAOGE AAKAR,
MERE BHAIYYA ALI AKBAR KALEJA MUH KO AATA HAI...
MERE BABA KHUDA HAFIZ MERE AKBAR KHUDA HAFIZ,
PHUPPI AMMA MERE AMMU MERE LASHKAR KHUDA HAFIZ,
KHUDA HAFIZ KHUDA HAFIZ ALI ASHGAR KHUDA HAFIZ,
SHARAR EK KAFELA AANKHO SE AUJHAL HOTA JAATA HAI...