Bazar e sham me hai
- Syed Waqar Naqvi Bhopal (2018)
Shaam me ehle haram laaye gaye jab be rida.
Taziyaane pusht par barsa rahe the ashkiya.
Dhoop me bacche tadap kar keh rahe the al-atash.
Paara paara binte haidar ka jigar hota raha.
Baazaare shaam me hai, baalo se muh chhupaae.
Zainab pe zaalimo ne, kya kya sitam hai dhaae.
Durre laga laga ke, haste the jab sitamgar.
Tab faatema beti roti thi sar jhhukaae.
Sheh ke yateem bacche, pyase tadap rahe hai
Sab maangte hai paani, zaynab kaha'n se laae.
Jalti huvi zamee'n pe hai nange paau qaydi
Kaante sitamgato ne raaho me hai bichhae.
Shaane kata ke ghaazi darya pe so raha hai.
Kisko sada de zainab hai kon jo bachae.
Urya'n pada hai laasha bhaai ka karbalaa me.
Pardesh me bahan ko kis tarh chaan aae.
Aakar najaf se baba beti ki dekho haalat.
Jaati hai kayd ho kar dee'n pe rida lutaae.
Sajjad ko laeeno maaro na taziyaane.
Mushkil se chal raha hai zulmo sitam uthaae.
Navshad ki dua hai jaae waqaar karbal.
Shabbeer ke haram me farshe aza bichhae.