Chehlum karo karbala mein
- Irfan Haider (2018)
HUSSAIN .. (3)
Ghareeb e ZAHRA ke naukar, yeh Aashiqan e Aza
Rahe wafa pe chale hain Musafiran e Aza
Dua e FATEMA ZAHRA ke saayebaan ki tarah
Chale hain janib e manzil yeh karwan e Aza
(Salam Zaeraan e HUSSAIN
Salam Aashiqan e HUSSAIN ).. (2)
(Safar e Ishq e HUSSAIN ).. (2)
Hussainiyo'n..........
Hussainiyo'n tumhe KARBOBALA bulati hain
Safar e Ishq par chalo, saath mere Hussainiyo'n
Sunnat e BIBI ZAINAB ko pura karo
Hal min ki sada par Labbaik kaho
Labbaik ya HUSSAIN.. (4)
Rasm e SAJJAD puri karo.. (2)
KARBALA ke shaheedo'n ka ,
Chehlum karo KARBALA me.. (2)
Ya HUSSAIN
Chehlum karo KARBALA me.. (2)
(1) Zaeraan e HUSSAIN
KARBALA ka yeh gham.. (2)
Dil me zinda rahe, ek pal na ho kam
Saal bhar majlisein ho, rahe aankh nam
Baad e Ashoor hathon me lekar alam.. (2)
Qafila ek tarteeb do..
KARBALA ke shaheedo'n ka
Chehlum karo KARBALA me.. (4)
(2) Jiski chadar ko tum
roye ho umr bhar.. (2)
Jiska ek roz me, lut gaya sara ghar
Apne marqad me kehti hai woh nauhaghar
Main bhi jati hoo'n, tum bhi karo yeh safar.. (2)
Hukm e ZAINAB ki takmeel ho..
KARBALA ke shaheedo'n ka
Chehlum karo KARBALA me.. (4)
(3) Sabr ka woh khuda
Yaani ZAINUL IBA.. (2)
Pehenkar bediyaan, Khoon rota raha
KARBALA se sue Sham paidal gaya
Chhutke zindaan se phir sue KARBALA.. (2)
Jis tarah woh chala, tum chalo
KARBALA ke shaheedo'n ka
Chehlum karo KARBALA me.. (4)
(4) Baap ki yaad me
dil jalati hain woh.. (2)
Qaid khane mein gham yu manati hain woh
Apne baba ko ab bhi bulati hain woh
Karne chehlum sue dasht jati hain woh.. (2)
Gar SAKINA ke ghamkhwar ho,
KARBALA ke shaheedo'n ka
Chehlum karo KARBALA me.. (4)
(5) Hain safar ishq ka
Ek musalsal safar.. (2)
Karya Karya safar, Sehra jungle safar
Sardi garmi ho din raat paidal safar
KARBALA tak NAJAF se woh paidal safar.. (2)
Mere humrah tum bhi karo
KARBALA ke shaheedo'n ka
Chehlum karo KARBALA me.. (4)
(6) Door hogi thakan
us ghadi Ahle gham.. (2)
KARBALA mein rakhoge jo pehla qadam
Hogi pesh e nazar qabr e Shahe Umam
Ek maa ki fugha'n sun ke royenge hum.. (2)
Mere zakhmo'n ka marham bano
KARBALA ke shaheedo'n ka
Chehlum karo KARBALA me.. (4)
(7) Ashiqaan e HUSSAIN
Ishq imaan hain.. (2)
Ishq ka yeh safar, dil hain aur jaan hain
Haan yeh Irfan o MAazhar ka ailaan hain
BINT E ZAHRA ka, ZAHRA ka armaan hain.. (2)
Unka armaan pura karo
KARBALA ke shaheedo'n ka
Chehlum karo KARBALA me.. (4)
Allahumma ar zuqna fid duniya ZIYARATIL HUSSAIN