As-salamu alaiki ya ghareeb sakina
- Hashmi Sisters (2011)
Aaye hai hum tere darr par..(2)
pursa dene ke liye..(2)
majlis padhne ke liye
matam karne ke liye
nauha padhne ke liye
jo tu nahi ro saki to rote hai ehle azaa..(2)
aaye hai hum tere darr par...
as-salam, as-salam, as-salam
as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3)
1. Pursa tere baba ka dete hai sab ehle azaa
jisko dashte karbala mein zibha pyasa hi kiya
karbala ki garm reti par tadapta reh gaya
aasuo'n ke jaam ka..(2)
hazir hai nazrana
as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina
as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3)
2. Asr ko bhi ro na payi baap ki tum laash par
muh pe lagte the tamache aur chinte the gauhar
puchti thi sab se tum rokar najaf ki rahguzar
us ghadi na mil saka..(2)
pursa tum ko baap ka
as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina
as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3)
3. Tum ne dekhi laashe akbar khaimo mein aate hue
aur dekha jhule se asghar ko bhi jaate hue
sheh ko dekha lashe qasim pusht par laate hue
kamsini mein ye sitam..(2)
haaye aye sakina
as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina
as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3)
4. Jis tarha baade nabi zahra pe toote the sitam
tum pe bhi baade hussain aise gira kohe sitam
apni daadi ki tarha tumne saha har ranjo ghum
hai salami aaj bhi..(2)
tere darr par ambiya
as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina
as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3)
5. Kaise hum bhule wo sheh ki laash par aana tera
khud tadapna aur wo baba ko tadpana tera
sar burida laash ke seene pe sojana tera
aasma'n ye dekh kar..(2)
ro raha tha ba khuda
as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina
as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3)
6. Karbala se shaam ka kis tarha guzra raasta
ek juda naaqe pe tumko zor se bandha gaya
ro raha tha dekhke naize pe sar abbas ka
keh raha tha haye haye..(2)
ammu kuch na kar saka
as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina
as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3)
7. Aye meri bibi hamari hazri maqbool ho
ye hamari zakiri, nauhagari maqbool ho
aap ke ghum mein ye ashko ki jhadi maqbool ho
apni is dargaah mein..(2)
hum ko phir bulwana
alwida.. alwida.. alwida..
8. Jaa rahe hai ab tere darbaar se hum alwida
ho saka humse adaa na haqq e matam alwida
saal bhar ayenge yaa'n zawwar paiham alwida
bibi bus ek arz hai..(2)
hum ko na bhulana
alwida.. alwida.. (3)
aye tanha sakina
alwida, alwida ya ghareeb sakina..(3)
9. Adeeya o saniya mahum ki ab hai ye dua
jab biche ghar mein hamare shaah ka farshe azaa
tum zaroor aana hamare ghar mein shahe huda
hum sunaenge tumhe..(2)
nauha e majid raza
alwida.. alwida.. (3)
aye tanha sakina
alwida, alwida ya ghareeb sakina..(3)