Koi pehchan na le
- Sachey Bhai (2017)
Haye shaam, haye sham..(2)
koi pehchan na le..(2)
haye har gaam pe hai ehle haram nauha gar
koi pehchan na le..(2)
Be rida aale nabi ko kahi'n dauran e safar
koi pehchan na le..(2)
haye har gaam pe hai ehle haram nauha gar
koi pehchan na le..(2)
1. Aayi thi kufe mein ban kar jo kabhi shehzadi
kal talak karti thi jis shehr pe zainab shahi
kabhi hukmura'n thi is shehr ki
thi jis ki yaha'n hukumat kabhi
aaj kufe mein wohi aayi hai qaidi bankar
koi pehchan na le..(2)
2. Kaise batlau bhala jo tha ta'arruf mera
maa hu akbar ki mera naam hai umme laila
sare shaam hai ajab marhala
tu naize pe hai mera sar khula
kar rahi hai ye dua aaj teri maa akbar
koi pehchan na le..(2)
3. Malik e kausar o tasneem hai nana mera
bhai Hasnain hai aur baap Ali maa Zehra
ye qismat kaha'n mujhe laayi hai
musalmaan har tamashayi hai
sar jhuka leti hai ye soch ke binte haider
koi pehchan na le..(2)
3. Aaj hai zainab o kulsoom ke sar bechadar
haath paband e rasan aur hue gird e safar
aseer e sitam hai saydaniya
hai ye nauhagar nabi zadiya'n
nauke naiza pe buka karta hai shabbir ka sar
koi pehchan na le..(2)
4. Nauke naiza pe nazar aate hai jo chand se sar
wo jo bimaar hai ghash aata hai jisko aksar
aseere jafa aseere sitam
sare shaam hai nabi ke haram
haye kis haal mein hai Ahmed e mukhtar ka ghar
koi pehchan na le..(2)
5. Qafila ehle haram, qafila salaar hu mai
mere kunbe pe sitam hote hai ghum khwar hu mai
khule sar haram sare rah guzar
mai kuch is tarha hu mehwe safar
khauf taree yehi rehta hai hamesha dil par
koi pehchan na le..(2)
6. Aaj ye ehle haram pe hai sitam aarayi
tanz karta hai koi kehta hai koi baaghi
bade dil shikan ye haalat hai
ghareebul bewatan ye sadaat hai
maare ghairat ye dua maang rahe hai muztar
koi pehchan na le..(2)
7. Jiska parda tha mujhe jaan se badhkar pyara
aaj bazaar e jafa mein hai wohi be parda
sare sham hai behan sar khule
basad ranjo ghum ye kehte hue
gir gaya khaak pe naize se alamdaar ka sar
koi pehchan na le..(2)
8. Ho hamid abidi is ghum ka madawa kaise
bhule wo zulm bhala saniye Zehra kaise
qadam dar qadam musibat mili
jafa kaun si na safdar hui
sham mein zainab e muztar ne dua ki rokar
koi pehchan na le..(2)