Ya ali yo murtaza
- Shadman Raza (2017)
Nauhagar zamee hai khoon ro raha hai Aasma'n
Masnad e azaa bichii huwii hai barsare Jinaa'n
Daastaan e panjatan pe rorahe hai do jahaa'n
Kaapti hai ye sadaein sunke qabr e Mustafa
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
Aasmaa'n se de raha hai ek munadi ye sadaa
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
1) Baad e payambar wo zulm huwaa
Aal e Nabi ka koi na rahaa
Rassi se haider ka baandha galaa
Pehlu e Zehra bhi toda gayaa
Roti thi binte Nabi yani hamraaz e Ali (2)
Haaye ye zamaana humse kitni jaldi phir gaya
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
2) Baandh ke haider Ko rassiyo se
Galiyo me zaalim jab leke chale
Naala o shewan Zehra ne kiye
Baazu pe Shamsheer ke kund pade
Fatema par ye jafaa wo bhi pesh e Murtaza (2)
Ek shikasta pehlu bibi par Sitam ki intehaa
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
3) Dil me liye ghum Zehra margayi
Khaana e haider soona kargayi
Fatema pesh e paigambar gayi
Pehlu shikasta hi lekar gayi
Hogaye tanha Ali dekhlijey ya Nabi (2)
Dard e Dil bayaa'n karega kisse shah e laafata
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
4) Zainab o kulsoom Hasnain sabhi
Kartey hai mehsoos amma ki kami
Kaisi museebat ye Aan padi
Rote hai tanhaiyo me Ali
Sabr e ayyoobi kaha sabr e haideri kahaa (2)
Qabr ka nishaan bhi bamasl hai chupa diya
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
5) Silsila e zulm phir bhi na rukaa
Qatl Ali Ko masjid me kiyaa
Khoo'n se musalla rangeen huwa
Ghar me Khuda ke hai hashr bapaa
Chalgayi tegh e jafa zakhmi hai sher e qudaa (2)
Kaun rotiya yateem bacho Ko khilaega
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
6) Zehr e dagha phir Shabbar Ko diyaa
Jiske asar se Dil tukde huwa
Daagh e yateemi qasim Ko milaa
Teero se lashe Ko Chalni Kiya
Hasan e sabzqabaa bhi na dunya me rahaa (2)
Juz Husain panjatan me ab koi nahi bachaa
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
7) Daste Sitam aur kuch aage badhaa
Saamne aayi phir karbobala
Shimr ka Khanjar bekas pe chalaa
Behno ke aage sarr sheh ka kataa
Cheekhti thi fatema rehm kar Behr e Khuda (2)
Kardiya sitamgaro ne panjatan ka Khatema
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
7) Laasho pe ghode daudaye Gaye
Bibiyo ke Dil dehlaye Gaye
Haath rasan se bandhwaye Gaye
Pushto pey durrey barsaye Gaye
Shab ki tarikiyo mein jiska taaboot utha (2)
Uski betiya'n phirayi jaarahi hai berida
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
8) Nauha wo Naushad jo tu ne likha
Shadma'n ye hai Zehra ki ataa
Qabr e Nabi aur shah e laafata
Zer e kafan khud Karte hai bukaa
Peeto sarr Ahle azaa fatema dengii jazaa
Ye wo ghum hai Ahle aasmaan me bhi hai bapaa
Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza