Qasim ka lasha run mein ajab haal mein mila
- Anjuman e masoomeen (2017)
Qasim ka lasha ran mein ajab haal mein mila
Aayi sada jo shah ko us tashnakam ki
charo taraf se hota hai humla mere chacha
Pohche hussain lasha e qasim pe jis ghadi
bikhra hua zameen pe tha naushah e karbala
Sar ko jhuka ke kehte the qasim ki lash par
sharminda hu mai teri madad ko na aa saka
Qasim ke tukde chunte the ro ro ke shahe deen
sheh ko dilasa dete the abbas e bawafa
Qasim ki laash laaye hai jab khaimagah mein
Ahle haram mein rone ka ek ghul hua bapa
Farwa se roke kehte khaime mein ye hussain
bhabhi tumhara ladla maida'n se aagaya
Zainab nishani bhai ki mitti mein milgayi
bhai hasan ka laal bhi pamaal hogaya
Beti se roke kehte the ye sarwar e hazeen
kubra tumharan wali jaha'n se guzar gaya
Tujhko duaein deti hai farwa bhi musavi
tu ne jo uske laal ka nauha jo ye kaha