Aye mohammad ke madadgar
- Saleem Akbar Sirsivi (2018)
Hussain ya hussain..(3)
Husain, hussain.....
Aye mohammad ke madadgar tera kya kehna..(5)
Hussain ya hussain..(2)
1. Aye hussain abroo e deen e ilahi tu hai
manzilein dhundhti hai jisko wo rahi tu hai
khaas wahdaniyat e haq ki gawahi tu hai
maqtal e sabr ka bemisl sipahi tu hai
sikka e sabr tera arsh talak chalta hai
tera sadqa hai jo kaabe mein diya jalta hai
aye mohammad....
2. Mustanad deen ka har kaam tere ghum se hai
baaqi Allah ka paigham tere ghum se hai
surkh ru chehra e islam tere ghum se hai
khud Mohammad ka bhi ab naam tere ghum se hai
haq to ye hai teri mehnat ka sila hai islam
kho gaya tha tere sadqe mein mila hai islam
aye mohammad....
3. Har payambar ki shariyat pa tera qarza hai
hakime mulk e hidayat pa tera qarza hai
arsh walo ki jama'at pa tera qarza hai
inteha ye hai mashiyat pa tera qarza hai
cheer kar zulm ke toofan ka seena tune
pocha islam ke mathe ka paseena tune
aye mohammad....
4. Peshe mabood nahi koi amal radd tera
hai farishto ke tasawwur se bada qadd tera
nakhsh hai jazba e qurbani e behad tera
kaise kalma na padhe zaat e mohammad tera
diye islam ki ghurbat ko dilase tune
surkh ru kar diya nana ko nawase tune
aye mohammad....
5. Wo tahe tegh e mashiyat se tera raaz o niyaz
tak rahi thi tere chehre ko rasoolo'n ki namaz
itna purjosh tha tasbeeh e khuda ka andaz
aayi kaabe ki minaro'n se musalsal aawaz
ishq e mabood ka meyaar hai sajda tera
saare sajdo'n ka alamdaar hai sajda tera
aye mohammad....
6. Hai hussain ibn e ali aam teri qurbani
haq shanasi ka hai paigham teri qurbani
subh e ashoor se ta sham teri qurbani
kaise bhulega ye islam teri qurbani
tute teero'n ke musalle pe na ki uff tune
yu karaya hai namazo ka ta'arruf tune
aye mohammad....
7. Isme tauheed ki pehchan hai sajda tera
jism e kaaba ke liye jaan hai sajda tera
har sadi ke liye aylaan hai sajda tera
jo na utrega wo ehsan hai sajda tera
jab bhi duniya mein ibadat ka sawal aayega
haan tere akhri sajde ka khayal aayega
aye mohammad....
8. Asre ashoor do aalam ki nazar thi tujhpar
khizr o ilyaas ki adam ki nazar thi tujhpar
har ghadi nazish e maryam ki nazar thi tujhpar
mustaqil mursale aazam ki nazar thi tujhpar
rahe maqsad se agar tera qadam hatt jata
kul rasoolo'n ki namazo ka gala kat jaata
aye mohammad....
9. Waqt e akhir bhi na hamdardi e jadd li tune
apni khuddar tabiyat nahi badli tune
ambiya ki na farishto ki madad li tune
kamiyabi ki mashiyat se sanad li tune
apne hi sabr ka khud jaye zaka gher liya
pare jibreel ke bhi saaye se muh pher liya
aye mohammad....
10. Wo sulagta hua sehra wo hawa jiska nuzool
teri har saans magar hamd e khuda mein mashghool
imteha dekh ke tera aye jigar hamd e batool
damba khud masnad e aflaak pa the saare rasool
dekh kar apni baqa jhoom raha tha kaaba
tere sajde ke qadam choom raha tha kaaba
aye mohammad....
11. Be amaani mein mohammad ko amaa'n di tune
aadmiyat ke usoolo'n ko zabaa'n di tune
teero talwar ke jhangut mein azaa'n di tune
maut sharma gayi is shaan se jaa'n di tune
itni mohkam teri jaa'nbaaz adaein nikli
labe qudrat se tere haq mein duaein nikli
aye mohammad....
12. Kya ho 'akhtar' se khulasa teri qurbani ka
khoon se kaam liya behre wuzu paani ka
aks kaunain ki ankho'n mein tha hairani ka
haq ne lekar kaha bosa teri peshani ka
abd o mabood ke rishte ko tajalli dedi
tere sajde ne rasoolo ko tasalli de di
aye mohammad....