Padar zinda hai akbar

- Meesum Abbas (2018)


Haye,  haye..
Padar zinda hai akbar..(2)
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)

Aisa bhi zamane mein kahi'n hota hai akbar
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)

1. Maqtal se janaze ko tere kaise uthayein
jin haatho'n se mangi tere jeene ki duaein
un haatho'n pe ab haaye tera laasha hai akbar

tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)

2. Dil apna sambhalu'n to sina dil se nikalu
phir kaampte haatho'n se tera laasha uthalu
kis haal mein dekho to tera baba hai akbar

tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)

3. Tum aankhein phira lete ho jab dard ke maare
jab saans nahi lete ho haatho'n pe hamare
dum saath mein mera bhi nikal jaata hai akbar

tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)

4. Socha tha tumhe shaan se hum dulha banate..(2)
afsos magar laash pe hain aansoo bahate
ab khoon ka maathe pe tere sehra hai akbar

tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)

5. Chut ta hai zaeefi mein jo bete ka sahara
ab saath nahi deti hai beenayi hamara
uth-ta hai padar aur kabhi girta hai akbar

tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)

6. Zainab ko tera haal ye dikhlau to kaise
mai apne gale se tujhe liptau to kaise
lipta hua barchi mein tera seena hai akbar

tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)

7. Nauha Ali akbar ka hai "meesum" ki zabani
aakho'n se "raza" hoti hai ashko ki rawani
ehsaas tere ghum ka badha jaata hai akbar

tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)