Taboot hasan ka

- Meesum Abbas (2018)


Haye...
Paykaa'n baras rahe hai taboot par hasan ke..(2)
ummat mita rahi hai asaar panjetan ke

Paykaa'n baras rahe hai taboot par hasan ke
Haye hasan, haye hasan..(2)

Teero'n ne sajaya hai, taboot hasan ka..(2)
Haye taboot hasan ka...
taboot hasan ka

Ghar laut ke aaya hai, taboot hasan ka
Teero'n ne sajaya hai, taboot hasan ka..(2)
Haye taboot hasan ka...
taboot hasan ka

1. Shabbir ye kehte the
shabbar ke janaze par..(2)
kyu'n khoo'n mein nahaya hai
taboot hasan ka...

2. Ujla tha kafan lekin
bedard laeeno ne..(2)
khoo'n rang banaya hai..
taboot hasan ka

3. Ek duniya mukhalif thi
puche koi sarwar se..(2)
kis tarha uthaya hai
taboot hasan ka...

4. Jab teero'n ki barish thi
aye shahe najaf tumne..(2)
girne se bachaya hai..
taboot hasan ka...

5. Mehsoos ye hota hai
taboot ki chadar se..(2)
zainab ne banaya hai..
taboot hasan ka...

6. Aye binte nabi tumne
khud aake baqayya se..(2)
aankho'n se lagaya hai...
taboot hasan ka...

7. Pehlu mein mohammad ke
rakhne na diya laasha..(2)
baahar se dikhaya...
taboot hasan ka...

8. Ashaab e nabi koi
pohche na janaze mein..(2)
jaise ke paraya hai..
taboot hasan ka...

9. Amm ko salami jo
deni thi baqayya mein..(2)
rukta hua aaya hai..
taboot hasan ka...

10. Rehan ka meesum ka
ye dil hai azakhana..(2)
is dil mein basaya hai..
taboot hasan ka...