Moharram na bhoolna

- Meesum Abbas (2018)


Dua e fatima zehra ka tumpe saaya hai..(2)
Imam e Jafar e sadiq ne ye bataya hai
karna khushi bhi lekin..(2)
ye ghum na bhoolna..
Moharram na bhoolna.. Ya hussain..(4)

1. Ghar mein khuda dikhaye tumhare koi khushi
shadi ho wo bete ki ya beti ki rukhsati
tum bewa e qasim ka..(2)
kabhi ghum na bhoolna

Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)

2. Qayam karo sabeelein azadaro har jagah
kausar se kam nahi hai ye paani sabeel ka
jaari hai iss sabeel mein..(2)
zam zam na bhoolna

Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)

3. Baqir ke laadle ka imamat ke phool ka
farman hai ye Sadiq e Aal e rasool ka
jaise ghadeer bhoole..(2)

Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)

4. Saqqa banao baccho'n ko ghazi ki yaad mein
bachpan se hi alam ko utha kar wo chal sakein
dooba hua lahu mein..(2)\
parcham na bhoolna

Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)

5. Aaram ke wo din ho ya sakhti ki raat ho
ehsaas karbala ka hamesha hi saath ho
tum maqtal e hussain ka mausam na bhoolna

Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)

6. Har haal mein bichana hai farshe ghum e hussain
milta hai isse Fatema Zehra ke dil ko chayn
zakhme dil e batool ka..(2)
marham na bhoolna

Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)

7. Bedi ho hathkadi ho, ya taboot aur alam
saare tabarrukat e hussaini hai mohtaram
tazeem inki tum bani..(2)
Adam na bhoolna

Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)

8. Jab apni betiyo'n ko karo pyaar momino
shabbir ki yateema ka matam kiya karo
khati rahi tamache wo..(2)
har dam na bhoolna

Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)

9. Kufe ke raasto'n mein kabhi shehr e shaam mein
bazaar e aam mein kabhi darbaar e aam mein
beparda thi jo ghairate...(2)
Maryam na bhoolna

Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)

10. Wajib hai tumpe Mesum o Salman Azmi
matam ki janamaz bichaye jo matami
nauho'n ki tum azaan pe..(2)
matam na bhoolna

Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)