Ya Maula Ya Abbas

- Mudassir Jaunpuri (2017)


Abbas alamdar, Abbas Alamdar, Abbas alamdar
Yaha kuze sambhale,
Udhar mashq sambhale,
Yaha pyaas ke maare,
Udhar khoon ke dhaare,
Yaha girte hain aansu,
Waha kat gaye baazu,
Yaha hath dua mein,
Udhar zakhmi hai pehlu (2)
Alamdar nahi hai, Alamdar nahi hai

Bapa khaimon mein mehshar (2)
Alamlaate hain sarwar (2)
Bapa khaimon mein mehshar
Alamaaya hai lekin alamdaar nahi hai
Ya Maula Ya Maula Ya Maula Ya Abbas (4)

Sitamgaaro kisaazish (2)
Hui teeron ki baarish (2)
Sitamgaaron ki saazish
Chala nehr pe gazi suw-e-shah-e-hijazi
Sada dete hain sarwar, Ki aaye mere baradar
Kaha ho mere bhai, Nahi deta dikhayi
Har ek gam ki amina (2)
Na mar jaye sakina (2)
Har ek gam ki amina
Alam aaya hai lekin alamdaar nahi hai
Ya Maula Ya Maula Ya Maula Ya Abbas (4)

Nazar aata hai parcham (2)
Yeh hai khaimein ka aalam (2)
Nazar aata hai parcham
Alam aaya hai lekin alamdaar nahi hai
Ya Maula Ya Maula Ya Maula Ya Abbas (4)

Kamar pakde hain sarwar (2)
Yahi kehte hain ro kar (2)
Kamar pakde hain sarwar

Alam aaya hai lekin alamdaar nahi hai
Ya Maula Ya Maula Ya Maula Ya Abbas (4)

Bapa khaimon mein mehshar (2)
Alam laate hain sarwar (2)
Bapa khaimon mein mehshar
Alam aaya hai lekin alamdaar nahi hai
Ya Maula Ya Maula Ya Maula Ya Abbas (4)

Jo hai bachchon ko aalam (2)
Likhe kaise wo azaam (2)
Jo hai bachchon ka aalam
Alam aaya hai lekin alamdaar nahi hai
Ya Maula Ya Maula Ya Maula Ya Abbas (4)

Bayaa hota hai aakhir (2)
Padho nauha Mudassir (2)
Bayaa hota hai aakhir
Alam aaya hai lekin alamdaar nahi hai
Ya Maula Ya Maula Ya Maula Ya Abbas (4)