Kehti thi madar aye ali akbar
- Khurshid asri (2017)
Hoti hay subha azaan do (x2)
Kehti thi madaar ay Ali Akber, hoti hay subha azaan do(x2),
1. Janti hu mein mujko khabar hai
tere labho par meri nazar hay
kuch hi palon ka aur safar hay
maa bhi teri majboor magar hay
laal mere humshakal-e-payambar
hoti hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay Ali Akber, hoti hay subha azaan do(x2)
2. Sar ko jukaye khaime ke dar par
baba khare hay aap ke akber
aur udhar khaime ke andar bethi hay ghamghi zainab-e-muztar
karlo tayamum ay mere dilbar
hoti hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2)
3. Ek taraf Abbase dilaawar
karte hay saikal tegh ke upar
ghash me pare hay abide muztar
jhoole mein choop hay nanha sa asghar
toot na jaye zapt ka saagar
hoti hay subha azaan do
Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2)
4. Dekh idhaar masoom sakina
aankh mein aansoon, haath mein kuzaa
iske labhon par pyaas ka dariya
aayi hay kehne tumse yeh beta
jaane tammanaa jaane khaahar
hoti hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2)
5. Haal boora hay pyaas ke maare
phirbhi hasi hay labh pe tumhare
Aajare aaja raj dulaare
budhi maa ki ankh ketaare
waqt bohot hay kam mere Akber
hoti hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2)
6. Shaam se pehle khushk gale par
teghe chalega shimr ka khanjar
aur tumhari dukhiya maadar
bayn kareghi laash ke upar
phir na kahoonghi mein tumhe akber
hoti hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2)
7. Kaise likhe Gulshan woh manzar
murtaza aaya azaan jo dene
niklazabaan se allah ho akber
kholdiye saidaniyo ne sar
farsh pe kehkar girgayi maadar
hoti hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2)