Salam

- Afroz (Azhar Abbas) (2018)


As Salaamo Alal Husain,
Wa Ala Ali Yabnal Husain,,
Wa Ala Auladil Husain,,
Wa Ala Ashabil Husain.....

(1)
Waqt ke maare hue gham ke sataye Hain Husain,
Shar parashto'n ne sitam is tarah Dhaye Hain Husain,,
Gidgidate hue roote hue aaye Hain Husain,,
Sar Azakhane ki chawkhat pe jhukaye Hain Husain,,
Kya Karen aap hi batlayiye ab mere Imam,,
Aap ki zaat e muqaddas pe durood aur Salaam....

(2)
Kya sabab Hai ke duaae'n nahi hoti Hai qubool,,
Kyu Hain murjhae hue saari tammanao'n ke phool,,
Kya nibhate nahi humlog Shariyat ke usool,,
Kuch to batlaiye aye Jaan e Ali sibte Rasool,,
Hum Azadaron ki kab hogi musibat ye Tamam,
Aap ki zaate muqaddas pe durood aur Salaam.....

(3)
Maula is daur e tasaddud me mein Jahan jaate Hain hum,,
Ahle batil hum Azadaron pe karte hain sitam,,

Sunke fariyaad Azadaron ki phir Shahe Umam,,
Bole mayoos Na ho sab pe hai khaliq ka karam,,
Aisa kirdar ho raazi ho Khuda khush ho'n Imam,,
Tum Azadaron ko phir haq Hai karo mujhko Salaam.....

(4)
Tum ho Zehra ki Dua Sahibe kirdar bano,,
Jaise mai chahata hoon waise azadaar bano,,
Mere Abbas ke Sadqe me Wafadaar bano,,
Zulm se door raho haq ke talabgaar bano,,
Jab le'n izzat se jaha'n wale Azadaar ka naam,,
Tum Azadaron ko phir haq Hai karo mujhko Salaam.....

(5)
Ranjiso bugzo hasad aur adawat choro,,
Hai Azadaron me apas me nafrat choro,,
Padh gayi Hai Jo gunaho'n ki wo aadat choro,,
Jo Azadari me karte ho siyasat choro,,
Jab khuloos aur mohabbat se bano mere ghulaam,,
Tum Azadaron ko phir haq Hai karo mujhko Salaam.....

(6)
Tum Namazo'n ko Azadari se mat takrao,,
Kar rahe ho Mera matam Bhi agar ruk jao,,
Jab Aza'n goonje jaha'n walon ko ye batlao,,
Matami Bhi Hain namazi Bhi Hain ye samjhao,,
Jab zamane ko yu'n samjhaoge tum Mera payaam,,
Tum Azadaron ko phir haq Hai karo mujhko Salaam.....

(7)
Nauhakhaw'ni Na karo duniya ki shohorat ke liye,,
Meri majlis Na padho zakiro'n ujrat ke liye,,
Tumho Shayar to kaho Meri mohabbat ke liye,,
Sher mere liye kehte ho ke daulat ke liye,,
Ishq me doob ke jab padhne lago Mera qalaam,,
Tum Azadaron ko phir haq Hai karo mujhko Salaam.....

(8)
Majlise'n Kya Hain,Aza Kya Hai Moharram Kya Hai,,
Taziya Kya Hai ye Abbas ka parcham Kya Hai,,
Log karte hain Jo zanjeer ka matam Kya Hai,,
Saari duniya ko batao ke Mera gham Kya Hai,,
Maqsad e karbobala Kya Hai zamane me ho aam,,
Tum Azadaron ko phir haq Hai karo mujhko Salaam.....

(9)
Kyu Hain mayoos azadaar e Husain ibne Ali,,
Parda e ghaib me ek beta Hai Mera ab Bhi,,
Intezar uska karo aaye wo farzand e nabi,,
Wo jab aaega Khabar Lega sitamgaaro'n ki,,
Sab Dua maango ke Ajjil Ala Zahoor Imam,,
Tum Azadaron ko phir haq Hai karo mujhko Salaam.....

(10)
Uske aane se badal jayegi duniya saari,,
Uski Nusrat ke liye tum Bhi karo tayyari,,
Karbala wale bano chord ke duniya daari,,
Majlise'n aur Namazo'n me ho aaho zaari,,
Haan agar karna is zulm ke kisse ko Tamam,,
Aisa kirdar ho raazi ho Khuda khush ho'n Imam.....

(11)
Farshe majlis ko aqidat se bichate rahena,,
Parcham e Hazrat e Abbas uthate rahena,,
Mere MEHDI ko duao'n me bulate rahena,,
Zikr "Irfan" Mera sabko sunate rahena,,
Laahkar e MEHDI me ho saare Azadaron ka naam,,
Aisa kirdar ho raazi ho Khuda khush ho'n Imam.....