Zulmo sitam ka
- Yaseen Mirza (2018)
Zulmo sitam ka pucho anjaam karbala se
Laute hai chot khaake,
Nakaam karbala se.
1)Baiyyat kabhi na karna baatil sitamgaro se,
Sarwar ne ye diya hai paigaam karbala se
2)Hakpar kadam badha kar hoorne dikha diya hai,
Jannat kaa faasla hai dogam karbala se.
3)Mumkin nahi ki uska taahashr ho savera,
Laay hai shaam waale jo shaam karbala se.
4)Pehre yazidiyat ke chaaro taraf the lekin,
Koi hata na sheh kaa khuddam karbala se.
Tazmin-
5)Narge me dushmano ke vo aa chuka tha lekin,
Zainab bacha ke laayi Islaam karbala se.
6)Usko naa dho sakenge taa hashr shaam waale,
Laaye hai apne sar jo ilzaam karbala se.
7)Ab uski zindagi me khatra nahi hai koi,
Islaam ko mila vo inaaam karbala se.
8)Ab arze karbala par dete nahi dikhai,
Jaane kaha gaye hai Aalam karbala se.
9)Hilta tha kasre baatil khutbo se vo dhamak ki,
Nehje balaga aaya jab shaam karbala se.
10)Zillat ki zindagi se izzat ki maut behtar,
Hur ka bhi ab yahi hai paigam karbala se,
Makta
11)Pohcha hai sar feza kaa choukhat pe shahe di ki,
Uska bhi kyon naa judta fir naam karbala se