Aye zaifa meri zainab ko

- Ameer Hassan Amir (2008)


Dekha zainab ko to abdullah ne rokar pucha
aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai
kis liye aayi hai karne mere ghar tu girya
aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai

aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2)

1. Kya Mohammad ki nawasi ko tu pehchanti hai
kya mere Aun o Mohammad ko bhi tu jaanti hai
tujhko maloom hai ehwaal mere baccho'n ka

aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2)

2. Kitne mash'hoor the is shehr mein khairaat uski
apni maadar se bohot milti thi soorat uski
odh kar ghar se nikalti thi wo Zehra ki rida

aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2)

3. Khaicha karta tha qalatein Ali akbar uski
kitni tazeem kiya karte the Sarwar uski
aur Abbas diya karte the pehra uska

aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2)

4. Badliya ghum ki madine pe jo ye chhayi hai
kya wo shehzadiya'n pardes se laut aayi hai
aagaya khair se kya sibt e nabi ka kunba

aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2)

Roke abdullah se tab Hazrat e zainab ne kaha
Mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai
aaj tum bhi nahi pehchante chehra mera
mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai

mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)

5. Mai hi zainab hu magar aaj hu mai kitni ghareeb
legaya nargha e aada mein mujhe mera naseeb
aur mere paas na mehmil thi, na maqna, na reda

mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)

6. Sue maqtool e jafa dasht mein bachhe mere
hadd to ye hai ke jalaye gaye khaime mere
jal gaya sholo'n mein besheer ka nanha jhoola

mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)

7. Rukn e sarwar ne mala khoon ali asghar ka
dekha barchi mein jigar maine ali akbar ka
saamne mere kata hai mere bhai ka gala

mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)

8. Kahu kis tarha bandhi thi mere shano pe rasan
kaise batlau mai wo shaam ke zindaa'n ki ghutan
hogayi khaak ka pewand sakina dukhiya

mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)

9. Kya kahe nayyar o Amir wo bhala ghum ka sama
wo madina ki fiza ho ya ho zainab ki fugha
uth rahi thi dar o deewar se nauho ki sadaa

mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)