Aza ke waste akbar bulaye jate hai
- Yaseen Mirza (2018)
Aza ke vaaste Akbar bulay jaate hain,
Namaziyon ko nabi yaad aaye jaate hain,
Aza....
1) Varakakth pe dil ke hai aagoshe Fatima ke sabak,
Hussain haq ke liye ghar lutay jaate hai,
Aza..............
2) Hussain hi ka kaleja, Hussain hi kaa jigar,
Rago me khoon nahi muskurae jaate hain
Aza..........
3) Kate hai haath magar, kaul ke dhani Abbas,
Tadap ke mashqe Sakina bachae jaate hain.
Aza........
4) Dobala karte hai maqtal ka martaba Akbar
Zameen khoo me payambar sulay jaate hai.
Aza...
5) Vafa me Asgar-e-kamsin kaa hausla dekho,
Humak ke godme teeron ke aaye jaate hain,
Aza..
6) Jaha ne dekh liya, khastatan Hussain ka zor,
Ali ke naam se laashe uthay jaate hai
Aza ke vaaste......
7) Ama ka ziqr bhala, arze karbala me kaha,
Riday loot ke khaime jalay jaate hai,
Aza ke vaaste.....
8) Akele reh gaye Abid namaze asr ke baad,
Mazar din me bahattar (72) banay jaate hain
Aza......