Barchi ki ani

- Hashmi Sisters (2018)


(Haye ALI AKBARA
Waye ALI AKBARA)....(2)

Barchi ki ani khench ke bole shahe wala
(Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza)....(2)

(Haye ALI AKBARA
Waye ALI AKBARA)....(2)

(1) Kuch bhi nazar aata nahi kis samt ko jau
Imdad ki khatir me bhala kis ko bulau
Koi nahi is alam e ghurbat me hamara
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza
Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera

(Haye ALI AKBARA
Waye ALI AKBARA)....(2)

Barchi ki ani khench ke bole shahe wala
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza

(2) Furqat me jawaa'n laal ki binayi gayi hain
Budha hain pidar ghum se kamar toot gayi hain
Do nehr se ABBAS mujhe aake sahara
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza
Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera

(Haye ALI AKBARA
Waye ALI AKBARA)....(2)

Barchi ki ani khench ke bole shahe wala
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza

(3) Hatho'n pe utha rakha tha Khaibar ka garadar
Mashhoor do alam hain shuja’at me ab aakar
Aye BABA ALI aap hi batlaye khudara
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza
Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera

(Haye ALI AKBARA
Waye ALI AKBARA)....(2)

Barchi ki ani khench ke bole shahe wala
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza

(4) Aye kash ke tum jaate na darya ke kanaare
Is tarah na hote kabhi halaat hamare
Aye mere wafaadar bata dijiye itna
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza
Tooti hain kamar. chhaya hain nazro'n me andhera

(Haye ALI AKBARA
Waye ALI AKBARA)....(2)

Barchi ki ani khench ke bole shahe wala
Main kaise uthau ALI AKBARA ka janaza

(5) Amma tere bete pe qaymat ki ghadi hain
Jalti hui reti pe jawaa'n laash padi hain
Taqat bhi nahi deti hain ab saath hamara
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza
Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera

(Haye ALI AKBARA
Waye ALI AKBARA)....(2)

Barchi ki ani khench ke bole shahe wala
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza

(6) Ankhon se yehi sochke aansu nahi rukte
Kya hoga agar dekh liya BINTE ALI ne
Barchi me hain lipta hua AKBAR ka kaleja
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza
Tooti hain kamar. chhaya hain nazro'n me andhera

(Haye ALI AKBARA
Waye ALI AKBARA)....(2)

Barchi ki ani khench ke bole shahe wala
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza

(7) Barbaad hui ran me kamayi meri saari
AKBAR ke lahu se yeh abaa tar hain hamari
Har gaam badha jata hain farzand ka sadma
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza
Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera

(Haye ALI AKBARA
Waye ALI AKBARA)....(2)

Barchi ki ani khench ke bole shahe wala
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza

(8) ZAINAB ne kaha khayme se rote hue Mahum
Main saath hu tanha nahi SHABBIR e purgham
Kehti thi behen sheh se Hilal ab nahi kehna
Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza
Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera

(Haye ALI AKBARA
Waye ALI AKBARA)....(2)

Barchi ki ani khench ke bole shahe wala
(Main kaise uthau ALI AKBARA ka janaza)....(2)