Umme Rabab

- Hashmi Sisters (2018)


(Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB )....(2)
Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA
(Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2)

(1) Wafa RABAB ki bemisl hain zamane me
Jhalak usi ki hain ASGHAR ke muskurane me
Naseeb laya unhe Hashmi gharane me
Shareek hogayi ISLAM ko bachane me
Banaya dasht ko gulzar apne phoolo'n se
Khiraj le liya ALLAH ke rasoolo'n se

Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA
(Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2)

(2) Hum aur tum kaha'n aap si wafadari
Na hausla, na shuja’at, na woh fidakari
KHUDA ke deen pe jab waqt agaya bhaari
Sitam ke aage magar maamta nahi haari
RABAB apne mujahid ko bhejkar ran me
Shabaab de gayi deen e KHUDA ko bachpan me

Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA
(Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2)

(3) Suna ke loriyo me daastan e SHERE KHUDA
Banaya ASGHAR e masoom ko jari aisa
Banake nanha sipahi yeh maamta ne kaha
Lage jo teer gale pe to muskura dena
HUSSAINIYAT ka bharam mere laal rakhna hain
Quran e sabr ki tafseer tumko karna hain

Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA
(Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2)

(4) RABAB teri wafadariyo ko lakho salam
Tamam kar gayi qurabaniyaa'n HUSSAIN KE NAAM
Zamane bhar ki khawateen ko diye paighaam
Musibato'n me bi ahd e wafa karo anjaam
Hayaat e dhup me gar zere asmaan rahe
HUSSAINIYAT ka magar sar pe sayebaan rahe

Madar e ASGHAR , Madar e SAKINA
Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2)

(5) RABAB jisme rahi woh makaan pyaara hain
Sukhan HUSSAIN ka is baat ka ishaara hain
Paye jihad jise har sitam gawara hain
Khuda usi se hain raazi wohi hamara hain
Jihad e sabr me faulaad ka jigar hain RABAB
Baraye ZAINAB O KULSOOM ek sipar hain RABAB

Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA
(Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2)

(6) Riwayato me hain BIBI ki daastan e wafa
Ke jab nishaana koi pattharon se deta tha
Yeh sochkar ke na zakhmi ho ZAINAB E KUBRA
Badhake apne hi maathe ko waar rok liya
Lahu lahaan hui pattharo'n se peshani
Bhulayi ja nahi sakti kabhi yeh qurbani

Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA
(Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2)

(7) Aye BIBI aapke gham ko bayaa'n karu kaise
Uthaye daagh  yateemo'n ke kis kaleje se
Kabhi SAKINA pe hote hue sitam dekhe
Balayein li kabhi ASGHAR ke sar ke naize se
Kabhi jale hue jhule ko yaad karti thi
Kabhi HUSSAIN ki ghurbat pe aah bharti thi

Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA
(Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2)

(8) Wigaar aakhri saanso'n talak RABAB E hazee'n
Lagake seene se jhule ki lakdiyaa'n royi
Na thanda paani piya aur na saye me baithi
Kabhi SAKINA ki tanhai par tadap uthi
Adiya, Saniya, Mahum RABAB ka ghum hain
Bapa hain nauha o matam RABAB ka ghum hain
 
Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA
Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB

Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA
(Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2)