Shabe ashoor ki maaein

- Hashmi Sisters (2018)

(De rahi thi yeh Shab e Ashoor ki maaein sada)..(2)
(Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA)..(2)

Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida
(Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA)....(2)

(1) Ghum na kar bar ayengi kal subho teri aarzu
Hum tujhe khush hoke denge apne baccho'n ka lahu
Hashr tak shadaab rehne ki tujhe denge dua

Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA
Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida
Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA

(2) Haa magar tujhse musalsal itna puchenge zaroor
Kya khata humse hui thi, kya hamara tha qusoor
Kis liye hum bekaso'n par ki gayi akhir jafa

Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA
Har khushi apni karenge teri khusiyon par fida
Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA

(3) Aaj ki shab hum hain masroof e ibadat dekhle
Kis qadar baccho'n me hain shauqe shahadat dekh le
Saj rahe hain maqsad e SARWAR pe hone ko fida

Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA
Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida
Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA

(4) Jaan ki bazi laga denge hamare naunihaal
Kar nahi sakte magar zalim se paani ka sawaal
Pyaas ko hain maat dene ka dilo'n me hausla

Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA
Har khushi apni karege teri khushiyo'n par fida
Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA

(5) Sar se lekar paon tak khoo'n me nahayenge magar
Zulm ke aage jhuka sakte nahi hai apne sar
Sarfaroshi ka sabhi ko dars hum ne de diya

Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA
Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida
Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA

(6) QASIM O AUN O MOHAMMAD ya ALI ASGHAR ka haath
Haath me baiy'at ka aa sakta nahi AKBAR ka haath
Sheer par itna to humko hain bharosa bakhuda

Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA
Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida
Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA

(7) Teer talwar o tabar humko dara sakte nahi
Khanjar o shamsheer ya durre jhuka sakte nahi
Faisla humne jo karna tha woh humne kar liya

Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA
Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida
Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA

(8) KARBALA ki maao'n par qurban Asif zindagi
Bakhuda in maao'n me Hashim koi buzdil na thi
Lamha lamha kar rahi thi farz yeh kehkar ada

Hum tuje abaad kar jayenge dashte KARBALA....(2)