Ana Karbalai

- Ali Safdar (2017)


Najaf se hain nikle Hussaini jiyalein
Ziyarat ki khwahish, Alam hain sambhale
Yeh budhe jawa'n, auratein god wale
Yeh hain phool jannat ke pairo'n ke chhale
Yeh MAHDI (A.T.F.S.) ke naasir.......(2)
Hussaini fidayi..(3)
Ana Karbalai Ana Murtazai......(2)
Ana Karbalai Ana Murtazai.....(2)

1. NAJAF se safar KARBALA ka karenge
Na Daesh ka darr hain hum aage badhenge
Hum aage badhenge ........
Kare qatl jitna bhi utna jiyenge
Bas ab KARBALA me qadam yeh rukenge
Qadam yeh rukenge......
Lehed KARBALA me..........(2)
Ho yeh hain badhayi

Ana Karbalai Ana Murtazai ...........(2)
Ana Karbalai Ana Murtazai...........(2)

2. Azaa wale QUR’AN ke tarjuma hain
Alam ke pharere se hum jaweda hain
Hum jaweda hain.......
Jawa'n saare AKBAR ke dil se jawa'n hain
Yeh bacche bhi besheer ke humzaba'n hain
Ke humzaba'n hain..........
Hussaini likhai.......(2)
Hussaini padhai........

Ana Karbalai Ana Murtazai.........(2)
Ana Karbalai Ana Murtazai...........(2)

3. Lutaya haIn SHEH ne bhara ghar Khudaya
Fida hain bhatija baradar khudaya
Yeh Noor e Nazar mera AKBAR khudaya
Yeh hain che mahine ka ASGAR khudaya
ASGAR khudaya.........
Ke jaan deke ISLAM.......(2)
Ki jaa'n bachayi.......

Ana Karbalai Ana Murtazai.......(2)
Ana Karbalai Ana Murtazai ........(2)

4. Yeh ilm o amal nusratein hogi paiham
Na hogi AZADARI hargiz kabhi kam
Hargiz kabhi kam.....
Ibadat, namazein,yeh majlis,yeh matam
IMAM E ZAMANA (A.T.F.S.) ke naasir bane hum
Naasir bane hum..........
Bohot se mahaazo'n ....(2)
Pe hogi ladai .....

Ana Karbalai Ana Murtazai...(2)
Ana Karbalai Ana Murtazai.....(2)

5. Chala Hurr har ek zulm o zulmat se ladke
Woh sufiyaanat se woh daulat se ladke
Daulat se ladke..........
Woh jeeta yazeedo'n ki taqat se ladke
Gaya paas SHEH ke hukumat se ladke
Hukumat se ladke.........
Kaha Hurr ne MAULA.....(2)
Ne qismat jagayi...

Ana Karbalai Ana Murtazai.....(2)
Ana Karbalai Ana Murtazai.....(2)

6. Zamee'n par yeh dosh e NABI ka makee'n hain
Yeh ek laash e besar hain tapti zamee'n  hain
Tapti  zamee'n hain...
Kare koi imdad koi nahi hain
Jaha SHEH ka lasha hain MAA bhi wahi hain
MAA bhi wahi hain......
Har ek laash maqtal.......(2)
Se SHEH ne uthayi..........

Ana Karbalai Ana Murtazai............(2)
Ana Karbalai Ana Murtazai .................(2)

7. Yeh Shaam aur Kufe me dil ro raha hain
Hain laashe zameen par yeh KARBOBALA hain
Yeh KARBOBALA hain.......
Yeh ghairat se SAJJAD (A.S.) ka sar jhuka hain
Behen hain khule sar phuphi berida hain
Phuphi berida hain.................
Na tauq e gira ne ..........(2)
Hain gardan jhukayi............

Ana Karbalai Ana Murtazai .............(2)
Ana Karbalai Ana Murtazai...........(2)

8. Hain sairaab karte Qamar pyaas wale
Hussaini mujahid woh Hammaas wale
Woh Hammaas wale........
Iraq o Yemen me hain yeh aas wale
Hain ZAINAB ke rauze pe ABBAS wale
Pe ABBAS (A.S.) wale........
ALI (A.S.) wale karte hain ......(2)
Mushkil kushai............

Ana Karbalai Ana Murtazai ...........(2)
Ana Karbalai Ana Murtazai.........(2)

NAJAF se hain nikle Hussaini jiyalein
Ziyarat ki khwahish, Alam hain sambhale
Yeh MAHDI (A.T.F.S.) ke naasir .....(2)
Hussaini fidaai....(2)
Karbalai Murtazai