Kaha'n se layegi duniya hussain ke jaisa
- Miscellaneous (2014)
Kahan se laayegi Duniya HUSSAIN (a.s.) ke jaisa,
Faqat Hussain(a.s.)Melegaa
HUSSAIN (a.s.) ke Jaisa,
Ibadaton ka toh jarri hai Silsila abh tak,
Namaz ko wo Namazi nahi Mila abh tak,
Karey jo khaq pe sajdaa Hussain ke jaisa,
Kahan se laayegi Duniya HUSSAIN (a.s.) ke jaisa,
Delaair manrahi hai shujaateinn tumko,
Salaam karti hai Asghar(a.s.) Shahadatein Tumko,
Hai 6 mahine mey jasbaa HUSSAIN(a.s.) ke jaisa,
Kahan se laayegi Duniya HUSSAIN(a.s.) ke jaisa,
Khuda hi jane ke Abbas(a.s.) kya hai shaan Teri,
Ye manzilat Ye saaadat kisey nasib huwi,
Tujhe samajhti hai Zehra(s.a.) HUSSAIN(a.s.) ke Jaisa,
Kahan se laayegi Duniya HUSSAIN (a.s.) ke jaisa,
Nusairioon se kaho chod dey baa zidd hona,
Qubool kaise karega wo Lam Yalid Hona,
Jisey Naseeb Ho betaa HUSSAIN(a.s.) ke jaisa,
Kahan se laayegi Duniya HUSSAIN(a.s.) ke jaisa,
Shiqast kiski hai Maidaan Faisla karley,
Daleeley chod ke aajao Mubahela karley,
Hai tere paas toh Zehra(a.s.) HUSSAIN(a.s.) ke jaisa,
Kahan se layegi Duniya HUSSAIN(a.s.) k jaisa,
Sikha gayi hai Zamaney ko Saniye Zehra(s.a.)
Wahi Aqeeda hai MEER aur Takalum ka ,
Kahan hai Wird koi aur HUSSAIN(a.s.) k Jaisa,
Kahan se laayegi Duniya HUSSAIN(a.s.) ke jaisa,
Faqat HUSSAIN(a.s.)Melegaa HUSSAIN(a.s.) ke Jaisa