Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

- Anjuman e Aza e Hussain (2011)

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai
Apni phuphi se ran ki rukhsat wo mangta hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Mitne ko hai jaha(n) se hai tasweer Mustafa ki
Qaboo me ab nahi hai halat Shah-e-huda ki
Nazdeek bas ajal hai kuch lamha rah gaya hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Aaoonga na mai wapa usko bhi ye pata hai
Maqtal se baap ko wo mud mud ke dekhta hai
Hasrat se baap bhi to bete ko dekhta hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Ye waqt me jamaye bhai pe hai nigahe(n)
Akbar ki le rahi hai ye door se balaye(n)
Wo khaqe Karbala pe karwat badal raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Arshe bari se taare hasrat se todti hai
Akbar ke waste wo ladiyo me goondhti hai
Usko nahi khabar thi naiza use laga hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Raaho(n) me jiski sughra shamma jala rahi hai
Din raat dil hi dil me dulha bana rahi hai
Wo ediya(n) zamee(n) par bhai ragad raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Jiske liye machalti hai soch kar ye Sughra
Bandhoongi ek din mai bhai ke sar pe sehra
Wo to ajal ka ran me sehra pahan chuka hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Naushah jab banega ye sochti hai Sughra
Chup jayega hasee(n) phoolo se sara chehra  
Maloom kya ki usko ghere hue qazaa hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Dil me saja rahi hai phoolo se jiska sehra
Karti thi jiski khatir ye ehtemam Sughra
Maqtal se uska laasha khaime me aa raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Poori tamanna hogi gulzar hoga ye ghar
Aayega jab palat kar pardes se baradar
Lekin use khabar kye narghe me wo ghira hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Lashe pe Shah uske aansoo baha rahe hai
Bachcho ke saath mil kar lashaa utha rahe hai
Gulzar hasarto ka paamal ho chuka hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai
Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai

Ammar ye bahan se aye kaash koi kahta
Jiska  piro rahi tu hasrato se sahra
Bandhegi kiske sar pe Akbar to mar chuka hai