Hath pehlu se jo uthta hi nahi
- Afroz (Azhar Abbas) (2018)
Kuch din to teri godh me Asgher raha Rabab.....
Ghut kar shikam me mar Gaya baccha Batool.....
Kya khoob Diya ajre risalat muaab Hai,,
Har waqt lab pe tha yahi Nauha Batool ka.....
Matla....
HATH PEHLU SE JO UTTHTA HI NAHI HAI,,
(HAYE BABA)
BAAD TERE MERE BABA DUM BAHOT GHUTTA HAI MERA
PAR NIKALTA HI NAHI HAI....
(1)MERI DEHLEEZ PE JO AA KE RUKA KARTE THE,,
MERI TAAZEEM KO KHUD AAP UTHA KARTE THE,,
KARTE SUNNAT KA HAI DAWA PHIR BHI KYU'N HAAL HAMARA
KOI SUNTA HI NAHI HAI.....
(2)MAI TO SOONTI THI KISI KA KOI MAR JATA HAI,,
USKA DUSHMAN BHI TASALLI KE LIYE ATAA HAI,,
RAAT DIN ROTI HU BABAMUJHKO DENE KO DILASA
KOI ATA HI NAHI HAI.....
(3)BHARE DARBAAR MEI HAQ MANGNE JO AAI HOON,,
MAI WASIYAT BHI GAWAHI KE LIYE LAAI HOON,,
BABA TEHREER TUMHARI LE KE MAI KAB SE KHADI HOON,,
KOI PADHTA HE NAHI HAI.....
(4)DEKH UMMAT NE TERI ZULM YE DHAYA KAISA,,
MUJH PE JALTA HUWA DARWAZA GIRAYA AISA,,
JIS TARHA KOKH MEI GHUT KAR MAR GAYA HAI MERA BACCHA
KOI MARTA HE NAHI HAI.....
(5)SATH TOU PAHELE HE UMMAT NE TERI CHORD DIYA,,
BABA IS BAAT NE HAIDER KA HAI DIL TOD DIYA,,
JIS NE ISLAM BACHAYAUSKO GHURBAT ME SAHARA
KOI DETA HE NAHI HAI....
(6)MERA MEHDI MERI GHURBAT PE LAHU ROTA HAI,,
JO KADI DHOOP ME VIRAAN MERA RAUZA HAI,,
DO GHADI SHAMMA JALA KAR KYU MERI QABR PE AA KAR