Ye ghurbate ali hai
- Mir Hasan Mir (2018)
Haye ALI as haye ZAHRA sa - 2
Pehlu bhi shikasta hai or qabr bhi tooti hai-2
ZAHRA sa ki ghareebi hi HAIDER as ki ghareebi hai
Ye ghurbat e ALI as hai - 2
Haq mangne jo ZAHRA sa-2 darbar me gayi hai.
Ye ghurbat e ALI as hai - 4
1)Awaaz aa rahi hai mai BINTE MUSTAFA saww hun
Baba k kalma goyo mai hi to FATEMA sa hun
(Pehchanne se duniya - 2) inkar kar rahi hai.
Ye ghurbat e ALI as hai - 4
2)sun kar salam e HAIDER sa koi nahi hai rukta
Wajib nahi samajhta koi jawab dena
(afsos FATEMA sa bhi-2)ye baat janti hai.
Ye ghurbat e ALI as hai - 4
3) haye masjid me sar jhukaye MAULA khade hue hain
Hakim ki tohmato'n ko chup chap sun rahe hain
SIDDIQA sa sabke samne jhutlayi ja rahi hai.
Ye ghurbat e ALI as hai - 4
4) ek kooche me pahonch kar dekha jo MUJTABA as ne
Zalim ne zarb maari kaise KHUDA hi jane
(BINTE NABI sa zami'n par-2) ghash kha k gir padi hai.
Ye ghurbat e ALI as hai - 4
5) MAZLOOM E KARBALA sa ko yaad aa gayi SAKINA sa
Beti pe MUSTAFA saww ki qunfuz ka hath uttha
(Pehlu me MURTAZA as ki-2) talwar ro rahi hai.
Ye ghurbat e ALI as hai - 4
6) Pehlu bhi hai shikasta hatho'n pe bhi hain chale
Hai apki amaanat ab apke hawale
(Haye ye keh k MURTAZA as ne-2) mayyat NABI saww ko di hai.
Ye ghurbat e ALI as hai - 4
7)Kafi h bs ye fiqra rone ko zindagi bhar
Hatho'n ko apne aksar kehte the mal k HAIDER as
Khaiber shikan ki zauja ghut ghut k mar gayi hai.Ye ghurbat e ALI as hai - 4
7) haye kaise likhe Takallum ghurbat ALI WALI as ki
Zauja sahabiyo'n k darbar me gayi thi
(Beti sahabiyo'n k-2) darbar me gayi hai.
Ye ghurbat e ALI as hai - 4