Aaj zainab yateem hogayi
- Faheem Haider (2015)
Haye haye... haye haye..(2)
Aaj zainab yateem hogayi..(4)
Uth gaya baap ka sar se saaya..(2)
Aaj zainab yateem hogayi..(2)
1. Ghar mein farshe azaa bichgaya hai
khana e rabb mein matam bapa hai..(2)
sog mein dooba ghar sayyeda ka
Aaj zainab yateem hogayi..(2)
2. Uth raha hai janaza ali ka
ek mehshar ka aalam tha barpa..(2)
sab ke hotho'n pe tha ek nauha
Aaj zainab yateem hogayi..(2)
3. Ro rahe hai ye mehraab o mimbar
keh rahe hai ye jibreel ro kar..(2)
ibn e muljim ne yeh zulm dhaya
Aaj zainab yateem hogayi..(2)
4. Arsh par mustafa ro rahe hai
sab ke sab ambiya ro rahe hai..(2)
hai farishto'n mein kohraam barpa
Aaj zainab yateem hogayi..(2)
5. Koi kulsoom ko de dilasa
aur tadapti hai ghum se khadija..(2)
maula abbas karte hai nauha
Aaj zainab yateem hogayi..(2)
6. Ghum hai matam hai shor e buka hai
aasma'n bhi lahu ro raha hai..(2)
uth gaya sar se zainab ke saaya
Aaj zainab yateem hogayi..(2)
7. Qabr mein fatima bhi hai muztar
kar rahi hai ye fariyad ro kar..(2)
waqt kaisa ye zainab pe aaya
Aaj zainab yateem hogayi..(2)
Haye haye... haye haye..(2)