Ye kehta hua doob gaya subho ka taara
- Syed Razi Haider (2014)
Ye kehta hua doob gaya subha ka taara
aaj uth gaya duniya se gharibo ka sahara
Ye kehta hua doob gaya subha ka taara
1. Afsos ke khud doob gaya apne lahu mein..(2)
wo jisne ke islam ki kashti ko ubhara
Ye kehta hua doob gaya subha ka taara
2. Mayyat pe hussain aur hasan ka ye bayaa'n tha..(2)
baba nahi duniya mein to phir kaun hamara
Ye kehta hua doob gaya subha ka taara
3. Zainab ne kaha phir mujhe ek baar dikha do..(2)
Ab laut ke aaenge nahi baba dobara
Ye kehta hua doob gaya subha ka taara
4. Chhayi hai udasi daro deewar haram par..(2)
haye haye sare haider hua masjid mein dopara
Ye kehta hua doob gaya subha ka taara
Aaj uth gaya duniya se gharibo ka sahar
Ye kehta hua doob gaya subha ka taara