Aliyun waliyullah
- Shabih Abbas Jafri (2018)
Aliyun Waliullah..2
Ya Hussain Hussain ya Hussain...2
Qalb e rasool fatema zahra ka noor e ain
Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain
Jo iss se dur hai woh mohammad se dur hai..
Naam e hussain deen ke charagho'n ka noor hai..
Haan deen e mustafa ki yahi to hai zeb o zain..
Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain
Aashur karbala me qayamat ka marhala..
Gardan pe shahe deen ki khanjer hai chal gaya..
Baad e hussain ahle haram kar rahe the bain..
Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain
Zahra ka lal zeen se dharti pe jab gira..
Hilne lagi zameen falak thar thara gaya..
Hota tha khaimagaah e hussaini me shor o shain
Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain
Asghar bhi qatl ho gaya akbar nahi raha..
Zainab pukari ghazi bhi darya pe so gaya..
Tum chhodh ke na jao hame shahe mashraqain..
Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain
Ek din me tune sadme bahattar uthaye hain..
Zahra pukari tune bohot zakhm khaye hain..
Maa aa gayi hai aayega ab tere dil ko chain
Thama payaam e sabr ki tafseer ka alam..
Aulaad pe bhi teri ruke na kabhi sitam..
Rote hain jinko saamra baghdaad o kaazmain..
Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain
Sar aap ka ALI ki wilayat me kat gaya..
Lekin burida sar bhi gawahi tha de raha..
Zohrain se gawahi rahi taa ba maghrabain..
Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain
Zikr e hussain jaari hai "SALMAN AZMI"..
marzi hai yeh khuda ki dua e batool bhi..
Khu'n baar jiske gham me hai qul ambiya ke nain..
Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain