Kulsum se na pucho
- Shabih Abbas Jafri (2018)
Kulsoom se Na Pucho Kya Gham ka Marhala tha
Ahle Haram Khule Sar Sarwar ka Sar Juda tha
1. Dekhe'n hai'n jo Manazir kaise Baya’n Karegi,
wo waqt yaad kar ke Aah o Fugha’n Karegi,
Nok e Sina'n pe Jis dam Farq e Shahe Huda tha,
2. Roti rahi Qaza bhi jiski Qaza pe Paiham,
Mehshar Bapa huwa aur Arz o Sama me Matam,
Jab ran me Sar burida Dilband e Fatima tha,
3. Tukdo’n me bat chuka tha Paamal e Zulm hokar,
Taapo’n ki zadd me aaya jab wo Nishan e Shabbar,
Sehre ki tarha Qasim Maqtal me Jaa ba Jaa tha,
4. Ye uska Dil hi jaane kya purmahan Ghadi thi,
Karbobala me jis dam Ghash khaake gir padi thi,
Aur nahr pe tadapta Abbas e Bawafa tha,
5. Mehsus Yu'n kiya hai khud dard e Umme Laila,
Barchi ki Us Ani ko Apne hi Dil me dekha,
Tar Khu’n me jisko khakar Gulgo’n Qaba huwa tha,
6. Nazro'n me aaj bhi hai Fart e Alam ki Saa'at,
Haye Haye Rubab par wo tuti thi kya Qayamat,
Teer e Sitam me Uljha Asghar ka jab Gala tha,
7. Karbal se jo Chali thi hokar ke Gham ki Haamil,
Zainab ke Dard me thi ye har Qadam pe Shaamil,
Taaraj ho chuka jo Gulzar e Mustafa tha,
8. Ab Jaan lo Nahi ho Kufe ki Shaahzaadi,
Bankar ho aayi Qaidi Chadar ki ho Sawali,
Ye Shimr e Bad Nasab ne Kulsoom se Kaha tha,
9. Karta tha Jab ‘Shabih e Abbas’ Nauhagoyi,
Masruf e Gham hui thi Sangat Rasool e Haq ki,
Aur Saath Mehwe Matam unke huwa ‘Wila’ tha...