Ya aliyo ya aliyo ya aliye murtaza
- Shadman Raza (2017)
Nauhagar zamee'n hai khoon ro raha hai aasma'n
masnad e azaa bichi hui hai bar sare jinaa'n
daastan e panjetan pe ro rahe hai do jahaa'n
kaanpti hai ye sadaein sunke qabr e mustafa
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza..(2)
Aasmaa'n se de raha hai ek munadi ye sada
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza..(2)
1. Baad e payambar wo zulm hua
aale nabi ka koi na raha
rassi se haider ka bandha gala
pehlu e zahra bhi toda gaya
roti thi bint e nabi, yani hamraz e ali..(2)
haye ye zamana humse kitni jaldi phir gaya
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza
2. Baandh ke haider ko rassiyo se
galiyo mein zalim jab leke chale
nala o shewan zehra ne kiye
baazu pe shamsheer ke kund pade
fatima par ye jafa, wo bhi peshe murtaza..(2)
ek shakista pehlu bibi par sitam ki inteha
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza
3. Dil mein liye ghum zehra mar gayi
khana e haider soona kar gayi
fatima peshe paighambar gayi
pehlu shikasta hi lekar gayi
hogaye tanha ali, dekh lijiye ya nabi..(2)
dard e dil bayaa'n karega kisse shahe lafata
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza
4. Zainab o kulsoom, hasnain sabhi
karte hai mehsoos amma ki kami
kaisi musibat ye aan padi
rote hai tanhaiyo'n mein ali
sabr e ayyubi kaha'n, sabr e haider kaha'n..(2)
qabr ka nishaan bhi bamasl hai chupa diya
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza
5. Silsila e zulm phir bhi na ruka
qatl ali ko masjid mein kiya
khoo'n se musalla rangeen hua
ghar mein khuda ke hai hashr bapa
chal gayi teghe jafa, zakhmi hai shere khuda..(2)
kaun rotiya'n yateem baccho ko khilayega
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza
6. Zehr e dagha phir shabbar ko diya
jiske asar se dil tukde hua
daaghe yatimi qasim ko mila
teero se laashe ko chhalni kiya
hasan e sabz qaba, bhi na duniya mein raha..(2)
juz husain panjetan mein ab koi nahi bacha
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza
7. Dast e sitam aur kuch aage badha
saamne aayi phir karbobala
shimr ka khanjar bekas pe chala
behno ke aage sar sheh ka kata
cheekhti thi fatima, rehm kar behre khuda..(2)
kardiya sitamgaro ne panjetan ka khaatma
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza
8. Laasho pe ghode daudaye gaye
bibiyo ke dil dehlaye gaye
haath rasan se bandhwaye gaye
pusht pe durre barsaye gaye
shab ki tarikiyo mein, jiska taboot utha..(2)
uski betiya'n phirayi jaa rahi hai berida
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza
9. Nauha wo naushad jo tune likha
shadma'n ye hai zehra ki ataa
qabr e nabi aur shahe lafata
zere kafan khud karte hai buka
peeto sar ehle azaa, fatima dengi jaza..(2)
ye wo ghum hai ehle aasmaan mein bhi hai bapa
Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza