Qur'an ka lahoo
- Hashmi Sisters (2017)
Hasnain ne ye marsiya behno ko sunaya
behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu
unneeswi ramzaan ye kya hashr dikhaya
behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu
Hasnain ne ye marsiya behno ko sunaya
behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu
1. Ye wo lahu hai nana ne apna kaha jise
ta hashr hai isi se imamat ke silsile
karbal mein maa padhengi isi khoo'n ke marsiye
kuch rehem baba jaan pe zalim ko na aaya
behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu
2. Duniya se guzarne ko hai mazloomo ka wali
ab kisko sawaal apna sunayega sawali
mimbar hua khamosh to mehraab hai khali
ek kohe masaeb bin e muljim ne giraya
behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu
3. Karti thi fugha'n zainab o kulsoom tadap kar
aye bhai bechayn hai dil seene ke andar
zakhme gham e madar abhi taaza tha jigar par
ek aur naya zakhm kaleje pe lagaya
behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu
4. Roti thi kabhi choom ke abbas ke baazu
yaad aate kabhi zainab o kulsoom ke gesu
kehte the kabhi shaam beh jaate the aansu
baba ne kabhi jeeteji aaraam na paya
behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu
5. Zainab ne kaha ungliya'n ko nabz pe rakhkar
ab phayl chuka zeher e dagha aaye baradar
purhaul hai ekkiswi(21) shab haye muqaddar
sajde mein sare paak pe kyu zakhm lagaya
behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu
6. Matam ko nigar aagaye hoorein bhi jina se
kaabe ki zamee'n hilti thi faryad o fugha'n se
kohram bapa hogaya nauhe ke baya'n se
jab hashmi behno ne ye majlis mein sunaya
behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu
Hasnain ne ye marsiya behno ko sunaya
behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu