Aye masjid e kufa

- Rizwan Ali Zaidi (2017)


Sajde mein namazi pe hua zulm ye kaisa
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa

Damaad e payambar ka lahu kisne bahaya
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..

1. Zainab ke kaleje pe chala zulm ka khanjar
roti hai tadapkar
jibreel khabar unki sunane juhi aaya
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..

2. Is zulm se aghaaz hua karbobala ka
har lab pe hai nauha
masroof hai matam mein mohammad ka gharana
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..

3. Hasnain chale ghar se khabar ghum ki ye pakar
kehte the ye rokar
ab sabr ka yaara nahi phat-ta hai kaleja
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..

4. Baithi thi sirhane koi payro ko sambhale
karti rahi naale
unniswi tareekh ko is tarha guzara
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..

5. Phir ghusl o kafan shabbar o shabbir ne dekar
zainab ko bulakar
gharwalo ko bhi aakhri deedar karaya
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..

6. Al qissa wasiyat se jo farigh hue haider
barpa hua mehshar
ek aakhri hichki ne zamane ko hilaya
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..

7. Ekkiswi ramzaan ka din tha ke qayamat
aayi thi musibat
zainab ne kaha waqt e yateemi hai hamara
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..

8. Ghar se jo chala haider e safdar ka janaza
tha shor buka ka
har fard ye kehta tha ke faryaad khudaya
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..

9. Gehware ko ek simt se hasnain uthakar
chalne lage rokar
ek simt se mayyat ko farishto ne uthaya
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..

10. Mazhar ye qalam rota hai dil kaanp raha hai
matam ki sada se
kis tarha likhu haider e qarrar ka nauha
aye masjid e kufa, aye masjid e kufa
sajde mein..