Ibne muljim pe lanat khuda ki

- Ali Najaf Rizvi (2015)


Ya ali murtaza, ya ali murtaza..(3)

Zakhmi peshani hai murtaza ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

Aa rahi hai sada mustafa ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

1. Aasmaa'n par udasi hai chhayi
ghum mein doobi hui hai khudayi..(2)
shere dawar pe jisne jafa ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

2. Khuld mein fatima ro rahi hai
jaan ummul banee'n kho rahi hai..(2)
muztarib hai safar ambiya ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

3. Zainab e ghum zada hai pareshaa'n
kyu na hoorane jannat ho giryaa'n..(2)
hai jabee'n khoon khairul wara ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

4. Kaise fizza jigar ko sambhale
bibi kulsoom karti hai naale..(2)
laash uthti hai shahe huda ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

5. Hashr aalam mein hai aaj barpa
roke jibreel karte hai nauha..(2)
haye haye ali ne qaza ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

6. Hanfiya karte hai haye haye
kaise hasnain ko chayn aaye..(2)
khair halat hai aale ebaa ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

7. Sar patakte hai abbas e ghazi
khoon mein tarr hua hai namazi..(2)
inteha hogayi hai jafa ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

8. Rozadaro mein mehshar bapa hai
ya ali ya ali ki sadaa hai..(2)
hai azadari mushkil kusha ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

9. Girna jaye kahi'n aaj kaaba
uth raha hai ali ka janaza..(2)
aa rahi hai sada kibriya ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

10. Subh ekkis ki hai qayamat
murtaza par hai tuti musibat..(2)
ibteda hogayi karbala ki
ibne muljim pe lanat khuda ki

11. Aye Azeem o Najaf ghum manao
tum bhi haider ka taboot uthao..(2)
tum jaza paoge is azaa ki
ibne muljim pe lanat khuda ki