Safar jahan se maula e kainaat ka hai

- Ameer Hassan Amir (2018)


Haye Ali Haye Haye Ali. ..(2)
Haye Jigar Ko Thaam Ke Dono Jahan Rote Hain..(2)
RasoolZadi Ke Bacche Yateem Hote Hain
Haye Ali Haye Haye Ali. ..(2)

Safar Jahan Se Moula E Kainat Ka Hai..(2)
Nabi Ki Aal Pe Yeh Waqt Mushkilaat Ka Hai
Safar Jahan Se Moula E Kainat Ka Hai..(2)

1) 
 Lahoo Me Doob Ke Ham Do Huwe Hain Sar Afraz
Hassan Tamam Karao Namaziyon Ki Namaz
Khayal Kitna Imamath Ko Wajibaat Ka Hai
Safar Jahan Se Moula E Kainat Ka Hai..(2)

2)
Qayamath Ek Bapa Horahi Hai Masjid Me 
Keja Namaz E Ali Rorahi Hai Masjid Me
Sahar Tadapti Hai Chehra NidhaalRaat Ka Hai
Safar Jahan Se Moula E Kainat Ka Hai..(2)

3)
Yeh Kaisa Haaye Sitamghar Ne Zulm dhaya Hai
Usi Ka Masjid E Koofa Me Khoo'n Bahaya Hai
Khadam Khadam Pa Muhafiz Jo Deeniyat Ka Hai

Safar Jahan Se Moula E Kainat Ka Hai..(2)

4)
Yeh Kehke Dete Hain Moula Pisar Ke Haath Me Haath
Na Chordna Kabhi Abbas Tum Hussain Ka Saath
Yeh Mere Laal Asasa Nabi Ki Zaat Hai

Safar Jahan Se Moula E Kainat Ka Hai..(2)

5)
Falak Hilati Hai Zainab Ke Shor O Shain Ki Dhoom
Tadap Rahi Hai Janaz E Pa Baap Ke Kulsoom
Gila Naseeb Se Be Aasra Hayat Ka Hai

Safar Jahan Se Moula E Kainat Ka Hai..(2)

6)
Hassan Hussain Tadapte Hain Baap Ke Gham Me
Shareek Hazrat E Abbas Bhi Hain Matam Me
Malal Sabko Yateemi Ke Haadsaat Hai

Safar Jahan Se Moula E Kainat Ka Hai..(2)

7)
Nikal Raha Hai Nabi Ke Wazeer Ka Taboot
Ke Uthraha Hai Janab E Ameer Ka Taboot
Ali Ke Sogh Me Koofa Tasawuraat Ka Hai

Safar Jahan Se Moula E Kainat Ka Hai..(2)

8)
Tadap Rahe Hain Payambar Bhi "AAMIR" O "AKHTAR"
Zamee Pa Chayi Huwi Hai Udasiyaa'n Ghar Ghar
Yeh Din Muhafiz E Islam Ki Wafat Ka Hai

Safar Jahan Se Moula E Kainat Ka Hai..(2)
Kainaat Ka Hai..(2)