Sajde mein maar daala damaad mustafa ka

- Miscellaneous (2014)


Sajde me maar dala damad mustafa ka 

Ummat ne kar diya hai.. 2 
Ahwal yu qaza ka

Pardes me yatimi zainab pe chagayi hai
Haye qatl hogaya hai... 2
Sartaj fatema ka

Haider ki betiyo par haye tut gayi qayamat
Dhaya hai kalma goh ne... 2
Aisa sitam jafa ka

Arsho farash pe usdam kohram mach gaya hai
Jibril ne ailan jo... 2
Kiya qatl murtaza ka

Haye kalma goh ne uspe talwar hai chaladi
Lehraya jisne parcham... 2
Har simt la ilaha ka

Taboot jab uthaya hasnain ne baba ka
Ghar me ali ke barpa... 2
Hua hashr hai bala ka

Isko fida zamana kaise mita sakega
Ye matami asar hai... 2
Zainab ki ik dua ka