Taboot e ali sehne sayyeda mein rakha hai

- Shabih Abbas Jafri (2017)


Taboot e ALI sehen e sayyeda me rakha hai
HAIDER ke gham me nauhakuna aaj khuda hai

1. Baalo'n me gard chaak garebaa'n hai'n Chashm e Nam,
Lashe pidar pe sani e haider yu'n khadha hai

2. Taboot ke sir'haane khadhi roti hain fizza..
Abbas ki madar bhi hui mehwe aza hai

3. As'haab e murtaza ke saro'n me bhi khaak hai..
Aasaar qayamat ke sar-e-kufa bapa hai

4. Gham se hai Aaj Gumbad e Khizra lahu lahu,
Sad Naala o Shewan ka Ajab Shor Utha hai...

5. Turbat ko chhodh aaye Risalat Maa'ab bhi,
Ammama sar se aaj mohammad ke gira hai

6. Ekkiswi ka Roz qayamat se kam nahi,
Rooh-e-janab-e-fatema zahra ki sada hai

7. Ajr e azeem Hoga ata tumko aye "SHABIH"
Sehwan se sakhi lal ki aati yeh sada hai.