Gar Fatema na hoti
- Imran Datoo (2018)
Teri kayenat mola, na libaas e kun pehenti, gar fatema na hoti
Kabhi bazme do jahaa(n) mein, nah ya ki baat chalti, gar fatema na hoti
1. Teri lam yalid ki baatein, koi maanta bhi kaise
Tere laa ilaah ki hurmat, koi jaanta bhi kaise
Jo banaayi tu ne duniya, tujhe kibriya na kehti, gar fatema na hoti
2. Ye kalaam-e paak saara, hai manqabat usi ki
Karta hai zikr uska, khud sura e nisa bhi
Tafseer hal ata ki, lafzo(n) mein kaise dhalti, gar fatema na hoti
3. Tune hi to kaha tha ek roz mustafa se
Takhleeq e do jahaa(n) hai, mansoob sayyada se
Main kuch nahi banata, haa(n) nasl mein tumhari, gar fatema na hoti
4. Saqlain mein ali ka, koi bhi kuffo nahi tha
Saara jahaan tera, ya rab nusairi hota
Sach to yahi hai ya rab, mola ali ki biwi, gar fatema na hoti
5. Is darja paak bibi, dekhi nahi koi bhi
Duniya ke saamne hai, quraan ki gawahi
Tatheer ki aayat, kiske liye utarti, gar fatema na hoti
6. Ye chaand aur sitaare, ye asmaa(n) ye dharti
Ye salsabeel kausar, jaageer hai usi ki
Kono makaa(n) pe tere, laa waarasi barasti, gar fatema na hoti
7. Dehleez e panjatan se, nisbat huwi hai jabse
Mashhoor Ho rahe hai, mere kalaam saare
Yoo(n) mazhar abidi ko, shohrat kabhi na milti, gar fatema na hoti