Chaliye phuphi amma madine chale
- Amber Zahra (2011)
Chaliye phuphi amma madine chale..(2)
Qabr e sakina se ye aayi sadaa.
Chaliye phuphi amma madine chale
Chaliye phuphi amma madine chale..(2)
Hogaye hum qaid e sitam se riha
Chaliye phuphi amma madine chale
Chaliye phuphi amma madine chale..(2)
1. Mujhko yaha'n chhod ke mat jaiye
ghum ki satayi ko na rulwaiye
mere chacha jaan ko bulwaiye
aur amaari yaha'n mangwaiye
aap ko degi ye yatima dua
chaliye phuphi amma madine chale
2. Jee ke mare qaid mein mar kar jiye
haye ghazab khoon ke aasu piye
bhool na payenge sitam shaam ke
saamne dariya ke bhi pyase rahe
sogaye dariya pe hamare chacha
chaliye phuphi amma madine chale
3. Khatm hue hum pe musibat ke din
kaise guzare hai qayamat ke din
ab bhi hai nazro mein shahadat ke din
dekh liye hum ne bhi ghurbat ke din
hogi na phir hum pe ye zoro jafa
chaliye phuphi amma madine chale
4. Khatm hui qaid ki tareeqiya
ab nahi hogi kabhi aaho buka
rone pe ab uth gayi pabandiya
bistar e abid pe nahi ab dhua
rone pe denge na sitamgar sazaa
chaliye phuphi amma madine chale
5. Ab nahi hatho'n mein mere rassiya'n
hogayi azaad nabi zadiya'n
ho hi gayi subho rehayi ayaa'n
mil gayi gar cheeni hui baliya'n
jaenge hum shaam se karbobala
chaliye phuphi amma madine chale
6. Karbobala jaake milega araam
hai waha'n saare hi mere ghum gusaar
dekhenge baba jo mujhe ashkbaar
wo mujhe behlayenge be ikhteyaar
aaya tha jo leke wahi qafela
chaliye phuphi amma madine chale
7. Saath mein ho akbar e kadiyal jawa'n
guthniyo chalta hua ek bezubaa'n
kafla salaar mere ammu jaa'n
bhai mera qasim e tashna dahaa'n
chhodke wo dasht e musibat zadaa
chaliye phuphi amma madine chale
Qabr e sakina se ye aayi sadaa.
Chaliye phuphi amma madine chale
Chaliye phuphi amma madine chale..(2)
Hogaye hum qaid e sitam se riha
Chaliye phuphi amma madine chale
Chaliye phuphi amma madine chale..(2)