Sayyeda ka mohsin hai
- Syed Raza Abbas Zaidi (2018)
Haye Zahra... Haye Mohsin... Haye Zahra...
Be 'aay e zambin- qutilat...
Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
1. Hua shahid jo deewar-o dar ke beech aakar
Jise bachaane se zakhmi hai pehlu-e maadar
Udaas iske liye raat ghumzada din hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
2. Woh jisne karbobala ka safar kiya hi nahi
Zabaa'n se jisne abhi maa ko maa kaha hi nahi
Woh jhulta kisi jhule me kya yeh manzar hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
3. Ali ne aisa janaza kaha'n uthaya hai
Shaheed hoke jo maidaan-e ghum me aaya hai
Woh sheerkhwar jo na waaqif e qadosin hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
4. Woh jisko ghusl-o-kafan ki kaha'n zaroorat thi
Woh jiske tann pe ba-misle khuda taharat thi
Jo karbala ki zamee'n ka imam-e zamin hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
5. Chupa rahe hai musalma'n isi shaheed ki baat
Gawaah jiski shahadat ki hai Khuda ki zaat
Yeh qatl sab pe ayaa'n hai kaha'n yeh baatil hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
6. Qasam Khuda ki ba-misle Hussain ibn-e Ali
Shaheed hogaya lekin madad kisi ki na li
Malool iske liye qaum-e-Zaafare jinn hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
7. Isi ke azm ki taqleed ki hai Asghar ne
Ise shaheed kiya hai sitam ke lashkar ne
Malool teghe Ali is shaheed ke binn hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai...
Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...
8. Firaaq-e hazrate Mohsin me margayi Zahra
Kisi bhi maa pe na utre yeh be-amaa'n sadma
Yeh dard samjhega 'Rehan' jo bhi mo'min hai...