Aye khuda koi bhi maa

- Sayyed Sadiq Asghar Rizvi (2018)


Ay Khuda Koi Bhi Maa.
Aysa Na Manzar Dekhey.2

Apney Farznd Ke Shehragh Pe Na Khanjar Deykhey.2

Ay Khuda......

Kabhi Asghar Ki Taraf Aur Kabhi Asghar Ke Taraf.
Kabhi Qasim Kabhi Abbas Se Dilawar Ke Taraf.
Rozey Ashura Shahey Dee Ne Bara Bar Dykhey.

Ay Khuda.....

Ran Me Beshir Ko Jab Laaye Shahey Jinno Bashar.
Roya Muh Fheer Ke Uswaqt Yazidi Lashkar.
Apni Ankho Se Jo MurJhattey Guley Tar Dykhey.

Ay Khuda......

Betey Ke Maut Ka Hai Baap Ko Kitna Sadma.
Jis Kese Ko Bhi Ye Karna Ho Kabhi Andaza.
Wo Jawan Laal Ki Mayyat Ko Utha Kar Deykhey.

Ay Khuda....

Kat Gaye Bazu Alamdaar Ke Jab Qurbe Furaat.
Teero Ke Mashke Sakina Pe Hui Phir Barsaat.
Mashk Ko Aass Se Abbas E Dilawar Deykhye.

Ay Khuda....

Khun Me Duba Alam Khayme Me Jab Laaye Hussain.
Bibiyan Karne Lagi Aho Fugha Shor O Shayn.
Kistarha Khali Alam Abid E Muztar Dykhkey.

Ay Khuda.....

Chand Aur Taree Hai Jalti Hui Reyti Pe Padey.
Naseraney Shahe Wala Bhi Hai Geyti Pe Padey.
Ran Me Mohtaaj E Kafan Lash E Bahattar Deykhey.

Ay Khudaa..

Deyr Tak Ghutnoo Pe Sar Rakhye Hue Shahe Zaman.
Jane Kya Soch Ke Rotey Hai Shahe Qaono Maka.
Jis Ghadi Zainab O Kulsum Ke Chadar Dykhey.

Ay Khudaa.

Qatl Jab Karbobala Me Hue Ibne Haider.
Odhli Chehrey Pe Suraj Ne Geyhen Ki Chaadar.
Taakey Auladey E Nabi Ko Na Khuley Sar Dykhey.

Ay Khuda..

Be Watan Be Qaso Beyaar Tha Jo Jungle Me.
Behre Nusrat Jo Sada Deta Raha Maqtal Me.
Kehdo Duniya Se Mohammad Usey Ghar Ghar Dykhey.

Ay Khuda......