Amma kaha ho aajao aakar mujhe sambhalo

- Miscellaneous (2014)


Amma kaha ho aajao aakar mujhe sambhalo

1. Pehlu mein apne jaise bachpan mein sulati thi
Haatho'n se apne paani jis tarha pilati thi
pyaasa bohot hu amma paani zubaa'n pe daalo

2. Zakhmo se choor hu mai, aur ghar se door hu mai
amma talepe sar hai ye bekasoor hu mai
jalti zamee'n se amma aakar mujhe uthalo

3. Amma meri sawari nana rasool bankar
galiyo'n mein ghoomte the socho zara wo manzar
nana ko mere amma yasrab se tum bulalo

4. Dekho wo shimr aaya, khanjar liye sirhane
amma mere gale ko chooma hai Mustafa ne
bosa gale ka peeto katne se tum bachalo

5. Ab waqt aakhri hai Zainab tere hawale
amma meri behen ke aankho'n ke sab ujale
maqtal mein bekafan hai apni rida udado

6. Zahra ke saath Haider, maqtal mein aagaye the
maa ki fugha se shahid aflaak kaanpte the
rehan ye sadaa thi amma mujhe bachalo