Rassi mein gala hai baqar ka
- Shahid Baltistani (2015)
Chal pada karbobala se jab husaini qafela
ek rasan mein pusht e abid aur tha baqar ka gala
saans khanjar ki tarah mehsoos jab hone lagi
apne babajaan se rokar ye Baqar ne kaha
Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba ..(2)
Mushkil hai safar mar jaauga ..(2)
Tu holay holay chal baba
Aye merai baba ..(2)
Rassi mein gala..
1. Padhni hai namaz e mazloomi, Baba tu imamat karta ja
Khud dhoop bhi ham pe roti hai, Jalta hai mussala reti ka
Mai shukr ka sajda kar lu ada, Tu holay...
Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba
2. Kulsoom, Sakina, Zainab hai, Aur saath Ruqqaya bibi hai
Is ek rasan mein Aye baba, Har umr ki Zahra(sa) qaidi hay
Girti hai meri amma Fizza, Tu holay...
Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba
3. Ab dhoop mein itni shiddat hai, Jalte hain aseeri ke zewar
Pani to nahi hai ansoo hai, mein un pe chidak dunga aa kar
Aaram tujhe mil jaye ga, Tun holay...
Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba
4. Ankho'n se rawaa'n hai khoon tere, Jo teri phuphi hai be parda
Meri bhi phuphi hai be chadar, Woh naam Sakina hai jis ka
Khinchta hai rasan se us ka gala, Tu holay...
Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba
5. Islam bachane ki khatir, Nikli hai sharafat be chadar
Paoon ke chhaale rote hain, Chalti hai imamat kanto'n par
Ye pehla safar hai Zainab ka, Tu holay..
Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba
6. Dekha nahi jaata Aye baba, Mujh se ye qayamat ka manzar
Rukti hai kabhi chalti hai kabhi, Zainab ke badalte hai tewar
Ye Shaam ko jata hai rasta, Tu holay holay chal baba
Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba
7. Gir gir ke jo chalti hai Zainab, Mehsoos mujhe bhi hota hai
Sajjad pukare Aye beta, Mera bhi kaleja phat-ta hai
Jab sunta hoon tera noha, Tu holay holay chal baba
Aye Mere Beta..Aye mere beta
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba
8. Gar tez chala to Aye beta, Bazar e sitam aa jaye ga
Aahista agar beemar chale, Durron ki azziyat payega
Aur tere labon par hai beta, Tu holay holay chal baba
Aye Mere Beta..Aye mere beta
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba
9. Manzoor azziyyat hai mujh ko, Baqar ne Takkalum di ye sada
Har kaam mein teri marzi hay, Tu jaise chahai chal baba
Mai ab na kahoon ga Aye baba, Tu holay holay chal baba
Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba
Haye baba....