Jao aye phupi jaan
- Ali Mohammad Sultanpuri (2015)
Deti thi sada qabr se shabbir ki dukhtar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Mai qaid rahoon qaid mai hai mera muqaddar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
1. Aye phupi meri rida karbobala le jaana
Dhoop mein tha mere mazloom padar ka lasha
Lashe pe udha dena meri nanhi si chadar
Jao ayy phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi Sada qbr se shabbir ki dukhtar
2. Karbala Jana to baba se ye batla dena
Roye na mere liye wo unhe samjha dena
Keh dena satate nahi ab mujhko sitamgar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi Sada qbr se shabbir ki dukhtar
3. Kenna baba se ki Ek pal bhi nahi soyi mai
Aap jis din se gaye shamo sahar royi mai
Ab Jake mujhe chain mila qabr k andar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi Sada qbr se shabbir ki dukhtar
4. Bhaiyya Akbar jo mile kehna ye mere kalemat
Puchne aye na ek din bhi behen ke halaat
Keh dena behen bandhi gayi rassi mai kaskar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi Sada qbr se shabbir ki dukhtar
5. Karbala mai jo mera asghare masum mile
God mein lena use aur laga lena gale
Munh chumna bhaiyya ka meri simt se jakar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi Sada qbr se shabbir ki dukhtar
6. Neher pe jaake chacha jaan se keh dena salam
Kehna aada ke sitam seh na saki tishna kaam
Keh Dena ki wo mar gayi zindaan mein ghutkar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi Sada qbr se shabbir ki dukhtar
7. Mere ammu ko dikhana mere dono bunde
Eid k din jo bade pyar se pehnaye the
Keh dena lave cheer ke cheene gaye gouhar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi Sada qbr se shabbir ki dukhtar
8. Kehna kuze sakina ko ye maloom na tha
paani mangungi to lut jaegi meiri duniya
kat jaenge bazu mere ammu ke neher par
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi sada qabr se shabbir ki dukhtar
9. Aye phupi aaye nazar shehr e madina jis dum
kehna leti thi tera naam sakina har dum
qismat mein nahi tha ke watan aaye wo muztar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi sada qabr se shabbir ki dukhtar
10. Jis ghadi pohche ga yasrab mein ye ujda kunba
puchne aaegi mujhko meri pyaari sughra
rona meri behna ko kaleje se laga kar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi sada qabr se shabbir ki dukhtar
11. Reh gayi qaide sitamgar mein wo dukhiya wayez
Gunjta Reh gaya zindaan mein ye noha wayez
Mai qaid rahoon qaid mai hai mera muqaddar
Jao aye phupi jaan khuda hafizo nasir
Deti thi Sada qbr se shabbir ki dukhtar