Jafar ka janaza
- Meesum Abbas (2018)
Haye jafar e sadiq.. haye jafar e sadiq..(2)
Kazim utha rahe hai jafar ka janaza..(2)
Haye hussain kehkar aansu baha rahe hai
kazim utha rahe hai jafar ka janaza..(2)
1. Taboot ko utha kar kitne qadam badhaye
har ek qadam pe unko sajjad yaad aaye
abid ki bebasi ka nauha suna rahe hai
2. Mansoor ne ghiza mein zehre jafa diya tha
mazloom ke badan par jiska asar hua tha
aflaak se malaek purse ko aa rahe hai
3. Nikla dahan se bahar aaye jigar jo kat kar
khoo'n rang hogaya tha maula ka mere bistar
manzar ye ehle dil ke dil ko dukha rahe hai
4. Haider se dushmani ye ab tak nahi ruki hai
maula hasan se lekar jafar tak aagayi hai
har ek charagh e zehra zalim bujha rahe hai
5. Aulad e sayyeda mein aysa hai ye janaza
jisme madine wale dene ko aaye pursa
ehle madina saare ye ghum mana rahe hai
6. Jafar ke zehn mein bhi kazim ka hai janaza
mayyat uthane wala waris koi na hoga
zere kafan bhi jafar khoo'n rote jaa rahe hai
7. Salman aur meesum dekha ye khwaab aksar
baad e zahoor maula Mehdi baqi mein aakar
Zehra ka aur inka roza bana rahe hai