Baba teri ummat ne

- Yasir Raza Yasir (2017)


Haye baba.. haye baba.. haye baba
Haye baba..haye baba.. haye baba

Baba teri ummat ne zehra ko sataya hai..(2)
Har gaam rulaya hai dil mera dukhaya hai

Baba teri ummat ne zehra ko sataya hai..(2)

1. Jis dar pe mere baba tum aate the us dar ko..(2)
ummat ke ameero'n ne toda hai, jalaya hai

2. Ye kaise musalma'n hai kalma tera padhte hai..(2)
lekin teri beti ka haq chheen ke khaya hai

3. Mai bint e payambar hu wo jaanta hai phir bhi..(2)
zalim ne mujhe baba darbaar bulaya hai

4. Puchoge nahi mera kyu pehlu shikasta hai..(2)
ummat ne teri mujhpe darwaza giraya hai

5. Yasir kaha bibi ne ummat ne teri baba..(2)
tauheen meri ki hai dil mera dukhaya hai

Baba teri ummat ne zehra ko sataya hai..(2)