Utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro
- Ali Safdar (2015)
Utho aye dard ke maaro, utho ghum ke giraftaro
utho haq ke parastaro, utho sheh ke azadaro
utho aye azm ke taaro, utho himmat ke sayyaro
utho aye sabr e shabbiri ki jauhar daar talwaaro
azadaro'n, azadaro'n, azadaro'n, azadaro'n
utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n
azadaro'n, azadaro'n
utho haq ke parastaro..(2)
utho sheh ke azadaro
azadaro'n, azadaro'n
utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n
azadaro'n, azadaro'n
1. Suno halmin mughisin ki sada e shaah aati hai
sada e al'atash ab bhi yateemo ki rulati hai
abhi bhi karbala har roz yu dohrayi jaati hai
ke ho marqad mein bhi girya..(2)
payambar aye wafadaro
azadaro'n, azadaro'n
utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n
azadaro'n, azadaro'n
2. Abhi sukha nahi hai khoo'n zameen e karbala tarr hai
abhi bhi naiza e zalim pe goya farq e sarwar hai
abhi bhi haq zamane mein aseere tauq o langar hai
utho aye naam e haq pe..(2)
marne walo aye fidakaro
azadaro'n, azadaro'n
utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n
azadaro'n, azadaro'n
3. Utho padhkar sunao sab ko wo zainab ki taqreerein
girao zulm isteqdaad ki manhoos tameerein
yazidiyat ke har kaaro ko tum pehnao zanjeerein
pinhao hathkadi bedi..(2)
har ek zalim ko dildaaro
azadaro'n, azadaro'n
utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n
azadaro'n, azadaro'n
4. Yazeed e waqt ko aaina e tareekh dikhlado
mitado zulm mazloomo ko badhkar tum sahara do
amal se apne tum farzand e zahra ko dilasa do
fana kar do rahe maula..(2)
mein khud ko aye wafadaro
azadaro'n, azadaro'n
utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n
azadaro'n, azadaro'n
5. Aza e shah mein jo inqalabi rooh muzmar hai
usi ki tarjumani ka amee'n sarwar ka mimbar hai
ye matamdaar majma Mehdi e daura'n ka lashkar hai
karo kuch ehtemaam e ..(2)
aamad e Mehdi azadaro
azadaro'n, azadaro'n
utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n
azadaro'n, azadaro'n
6. Shaheed e karbala ka ghum aseer e nainawa ka ghum
na hoga kam kabhi bhi kushtaye zoro jafa ka ghum
rahega hashr tak qaem dil e ehle wafa ka ghum
magar fikr e madawa bhi..(2)
karo sheh ke azadaro
azadaro'n, azadaro'n
utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n
azadaro'n, azadaro'n
7. Aqeel e dil figaar o seena chaako sar bakaf zakir
naqeeb e inqelab e karbala o Mehdi e akhir
wohi hai nauhagar ehle azaa insaaf ki khatir
wohi nauha sunata hai..(2)
tumhe safdar azadaro
azadaro'n, azadaro'n
utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n
azadaro'n, azadaro'n