Roab abbas ki ankho mein hai haider jaisa
- Mir Hasan Mir (2018)
Roab abbas ki ankho'n mein hai haider jaisa
Aankh bhar kar jise dekha hua patthar jaisa
Roab abbas ki aankho'n mein hai haider jaisa
1. Kehke ye haath alamdaar ne khud rok liya
hurmala tere liye kaafi hai asghar jaisa
2. Teri saqqayi ka ejaaz hai abbas e ali
paani milta hai, paani milta hai sabilo pe bhi kausar jaisa
3. Kaun maidaa'n mein hai siffeen ke ghazi ya ali
kashmakash mein hai khada malik e ashtar jaisa
4. Koi kamzarf use bhi na khuda kehde kahi'n
hu bahu chehra e abbas hai haider jaisa
5. Ungliyo'n par hi utha leta wo kaandhe ki jagah
mashk ka wazn jo hota dare khaibar jaisa
6. Ambiya bol uthe dekhke abbas ka noor
sirf haider hi bana sakta hai haider jaisa
7. Lashkar e sharr pe nazar daalke ghazi ne kaha
Haal hoga fir'aun ke lashkar jaisa
8. Lauh e mehfuz ke bhi bas mein nahi hurr ki qasam
likhte hai hazrat e abbas muqaddar jaisa
9. Hai habib ibn e mazahir ko likhe khat ka karam
likhta hai midhat e shabbir jo akbar jaisa
Abbas, abbas, abbas, abbas