Mera bhai salamat rahe

- Farhan (ALI WARIS) (2005)


Mera bhai salamat rahe

Ik khoon ka rishta hai ye hai bol raha hai
bhai behen ka ye rishta anmoll raha hai
behna to ik naimat-e-parwardegar hai
dunya mein har behen ko baradar sey piyar hai
Han us hai piyar ka ye izzhar hai
dunya mein har behen key ye dil ki pukar hai

(Mera bhai salamat rahe) x4

  1. Har behen ka ye ahsas hai
    bhai mera meri aas hai
    bhai jab tak rahe saamney
    door gham hai khushi pas hai
    kyun na dil ye duayein karey

  2. (Mera bhai salamat rahe) x4

  3. bhai jesa bhi ho han mager
    hai behen key liye khoob tar
    saath deti hai har mor par
    bhai takleef mei ho ager
    manatoun key piyaley bharey

  4. (Mera bhai salamat rahe) x4

  5. har behen ko ye idraak hai
    han ye rishta bara pak hai
    door hojaye bhai ager
    zindagi behen ki khak hai
    is liye har behen ye kahe

  6. (Mera bhai salamat rahe) x4

  7. thi madina mein bhi ik behen
    us ko rehta tha bas ye mahan
    kheriyat sey ho bhai mera
    honajaye ghareeb ul watan
    raat din ro key bas ye kahe

  8. (Mera bhai salamat rahe) x4

  9. deikha chashme tasawwur mein ye kya
    ik behen thi sar-e-karbala
    bhai par aayi mushkil ghari
    us ney bachoun ko sadkey kia
    ye rahe na rahe vo rahe

  10. (Mera bhai salamat rahe) x4

  11. shab-e-ashoor ka waqt tha
    ik behen dey rahi thi sada
    aye khuda aye khuda aye khuda
    ik majboor ki hai dua
    ghar jaley chahe chader chine

  12. (Mera bhai salamat rahe) x4

  13. pani amu sey payegi jo
    pas Asghar key aaye gi wo
    sab sey chota hai bhai mera
    pani aaya to chahegi wo
    mujh sey pehley ye pani piye

  14. (Mera bhai salamat rahe) x4

  15. yaad "farhan" aaye mujhe
    bibi zainab key jo bain the
    kesi ab dil ki "mazhar" likho
    jab behen koi ro kar kahe
    mera bhai salamat rahe


(Mera bhai salamat rahe) x4